Gham-e-Shikwa Haal Tak Na Aaya : Shayari
Gham-e-Shikwa Haal Tak Na Aaya
Iss Ka To Khayal Tak Na Aaya
Aankon Ki Mumlikat Thi Duniya
Sooraj Ko Zawal Tak Na Aaya
Toota Hoon Kuch Iss Tarah Achanak
Pehley Say Koi Bal Na Aaya
Mehfil Mein Chura Li Nazar Uss Ne
Hum Ko Ye Kamal Tak Na Aaya
Kuch Aisi Thakan Ki Neend Aai
Khwabon Ka Khayal Tak Na Aaya
Yoon Khatam Kiya Fasana Hum Ne
Lehjey Mein Malaal Tak Na Aaya….
Syed Bilal
Labels: Shayari
