Hindi Shayari : कविता, गीत, शेर-शायरी, और गाने

07 February 2008

Mujhay Yaad Mat Kiya Karo - Shayari

Mujhay Yaad Mat Kiya Karo
Mujhay Dil k Aangan Mein Kahin Dafn Kar Do
Uss Pe Chirag-e-Tamanna Bhuja Dalo
Ser-e-Shab Tairgii Mein Guzrey Din
Yun Talash Mat Kiya Karo
Mujhay Yaad Mat Kiya Karo
Chandni Se Na Kuch Kaho
Na Hanso Na Baatein Kiya Karo
Sar-e-Raah Apna Bharam Yun
Tabah Mat Kiya Karo
Mujhay Yaad Mat Kiya Karo
Gulistan Mein Koi Gul Khilay
Aur Koi Rahroo Usay Torr Ley
To Hasrat Se Na Taka Karo
Sar-e-Sham Shafaq Ko Dekh Kar
Na Nazron Mein Yun Bhara Karo
Mujhay Yaad Mat Kiya Karo
Samander k Pass Jao Kabhi
To Lehron Mein Paon Dalay Hue
Aati Jati Moujon Se Yun
Kalam Mat Kiya Karo
Mujhay Yaad Mat Kiya Karo
Kabhi Kholo Purani Diary
To Tamam Safhey Parha Karo
Mera Naam Dekh Kar Samney
Safha Palat Mat Diya Karo
Mujhay Yaad Mat Kiya Karo
Barastii Barish Mein Tehla Karo
Khoob Hanso Baatein Kiya Karo
Yun Qatra Qatra Thaam Kar
Mera Naam Mat Liya Karo
Mujhay Yaad Mat Kiya Karo
Shab Ko Yun Guzaroo k
Tanhaii Na Tumharey Pass Aye
Na Dareechon Se Jhank Jhank Kar
Tumhein Chaandni Sataye
Aur Tum Dair Talak Yun Chand Se
Baatein Mat Kiya Karo
Mujhay Yaad Mat Kiya Karo
Suno...
Yeh Jo Chand Hay Mujhay Dekh Kar
Monh Pher Leta Hay Ab
Kabhi Baag Jaon To Phool b Shikwa Kunaa
Mujh Se Baat Nahi Kartey Hain Ab
Samander Ki Taraf Niklon Kabhi
To Lehrein Chor Deti Hain Paon Mery
Barish k Tamam Qatrey Daman Bachatey Hain
Mujh Par Barastey Hi Nahi
Shafaq b Mujhay Dekh Kar
Chupa Leta Hay Khud Ko Badal Mein
To Dekho!
Yun Mujhay Na Door Karo Tamam Aalam Se
Meri Zeest Ko Aey Nishat-e-Mann
Yun Azab Mat Kiya Karo
Mujhay Yaad Mat Kiya Karo
Mujhay Yaad Mat Kiya Karo..!!!



Teri judai bhi hamein pyar karti hai, teri yaad bahot
bekrar karti hai, vo din jo tere sath guzare the,
talash unko nazar bar bar karti hai.


Raj.

Da way i am.

Labels: , , ,


 
Google