Mujhay bas itna hi kehna hai
Kabhi main yaad aaoon tou
Kabhi tanhaee ki raatain
Tumhain ziada sataein tou
Kabhi titli na bolay tou
Aur jugnoo naa chamkain tou
Kabhi jab dil bhi bhar jaaey
Koi jab sunn na paye tou
Aur saray dost saathi bhi
Jo tum sai rooth jaaein tou
Kabhi jab khud sai lar lar ker
Thakan sai choor ho jao
Kabhi chahtey huay bhi khud,
akailey Rou na paao tou
Apni aankhon ko bund karna
Mujhay aawaz dai laina
Aur phir meray tasauwer sai
Jo chaaho batain keh laina
Meray kaandhay pai ser rakh ker
Tum jitna chaaho rou laina
Phir khud main jab lout Aao tou
U'Ssi dunya chaalay jaana
Mager bas itna hi kehna hai
Kai jab bhi dukh ya khushyon main
Mujhay dil sai pukaaro gai
Mujhay tum saath paao gai Mai u'ss din lout aaoon gi...
Labels: Shayari
