Hindi Shayari

19 September 2008

Tum Lout Aao Na : Dard Shayari

Tum lout aao na dekho chand nikla hay
Sitare jagmagate hain
Hamari muntezir aankheen
Duayeen mangeti aankheen
Tumain hi sochti aankheen
Tumain hi dhundhti aankheen
Tumain wapas bulati hain
Yeh dil jab bhi dharakta hay
Tumara naam leta hay
Yeh aansu jab bhi bahte hain
Tumare hi dukh main bahte hain
Barish jab bhi hoti hay
Tumain hi yaad karte hain
Khushi koy aye bhi
Tumare bin adhuri hay
Suno tum lout aao na
Suno tum lout aao na

Labels: ,

Subscribe to Hindi Shayari

 
Google