Hindi Shayari : कविता, गीत, शेर-शायरी, और गाने

19 January 2008

Mujhe Khonay Se Darti Thi

Mujhe Khonay Se Darti Thi

Meri Aankhon Pe Marti Thi
Meri Baton Pe Hansti Thi
Na Janay Woh Ladki Thi Kaisi
Mujhe Khonay Se Darti Thi

Mujhay Jab Bhi Woh Milti Thi
Yahi Har Baar Kehti Thi
Suno!!
Agar Main Bhool Jaoon To
Agar Main Rooth Jaoon To

Kabhi Wapis Na Aoon To
Bhula Pao Gay Yeh Sab Kuch?
Younhi Hanstay Raho Gay Kya?
Younhi Sajtay Raho Gay Kya?

Yahi Batain Hain Bas Uski
Yahi Yaadain Hain Bas Uski
Yahi Chahat Hai Bas Uski
Mujhy Bas Yaad Hai Itna!!!

Mujhay Woh Pyar Karti Thi
Mujhay Khonay Se Darti Thi...!!!

Syed Bilal

Labels:

Yaad Aaya

Jo bhi dukh yaad na tha yaad aaya,
Aaj kya janiye kya yaad aaya,

Phir koi haath hai dil per jaise,
Phir tera ahed-e-wafa yaad aaya,

Jis tarah dhund mein lipte hue phool,
Ek ek naqsh tera yaad aaya,

Aisi majboori ke aalam mein koi,
Yaad aaya bhi to kya yaad aaya,

Yaad aaya tha bicherna tera,
Phir nahi yaad ke kya yaad aaya,

Jab koi zakham bhara daagh bana,
Jab koi bhool gaya yaad aaya,

Ye mohabbat bhi hai kya rog,
Jisko bhoole woh sada yaad aaya..!!!

From:Zafar Alam Khan

Labels:

Ye Nafrat Ki Kaisi Aandhi Chal Rahi Hai

Ye Nafrat Ki Kaisi Aandhi Chal Rahi Hai
Chiraagh-e-Muhabbat Bujha Jaa Raha Hai

Aur Jo Pata Hawa Ka Pataa Dey Raha Tha
Woh Pata Hawa Mein Urra Jaa Raha Hai …

Syed Bilal

Labels:

Ujaaley apni yaadon kay hamaarey saath rehnay dou

Ujaaley apni yaadon kay hamaarey saath rehnay dou,
Na jaaney kis gali mein zindagi kee shaam ho jaaye,

Chiraagon kee taran aankhein jalein jab shaam ho jaaye,
Kabhi tou asmaan say chaand utray jaam ho jaaye,,
Tumhaarey naam kee aik khoobsoorat shaam ho jaaye,
Ajab halaat thay yun dil ka sauda ho gya aakhir,
Mohabbat kee haveli jiss taran nilaam ho jaaye,
Samundar kay safar mein iss taran avaaz day ham ko,
Havaayein teiz hon aur kashtiyon mein shaam ho jaaye,
Mujhay maloom hai uss ka thikana phir kahaan hoga,
Parinda asmaan chhoonay mein jab nakaam ho jaaye,
Ujaaley apni yaadon kay hamaarey saath rehnay dou,
Na jaaney kis gali mein zindagi kee shaam ho jaaye,


Shayari compiled by,
jass_cancerian

Labels:

17 January 2008

Muhabatoon mein her ek...

Muhabatoon mein her ek lamha wisaal ho ga ye tay hua tha,
Bicher ke bhi ek doosre ka khayal ho ga ye tay hua tha,

Ye kya ke sansein ukher gayi hain, saffer kay aaghaz sey hi yaro,
Koi bhi thuk ker na raastey mein nidhaal ho ga ye tay hua tha,

Wohi hua na badaltay mausam mein tum ne hum ko bhula dia na
Koi bhi rot ho, na chahatoon ko zawal ho ga ye tay hua tha,

Juda huey hain tu kia hua ke yahi to dastoor-e-zindagi hai
Judaiyon mein na qorbatoon ka malal ho ga ye tay hua tha,

chalo ke ab sari kashtiyon ko jala dein gumnam sahailoon per,
ke ab yahan say na wapsi ka sawal ho ga ye tay hua tha

From:!! - * someone * - !!

Labels:

Zakham Khaana To Apni Aadat Hai

Zakham Khaana To Apni Aadat Hai
Muskurana To Apni Aadat Hai

Roshni Ho Ke Ghup Andeihra Ho
Dil Jalaana To Apni Aadat Hai

Aap Kab Tak Sanbhaliye Ga Humein
Larrkharrana To Apni Aadat Hai

Hein Sitamgar Khafa To Honey Do
Sar Utaana To Apni Aadat Hai

Raah Chalti Hui Museebat Ko
Ghar Bulaana To Apni Aadat Hai

Uss Ki Aankhon Say Kya Gila Raahi!!
Doob Jaana To Apni Aadat Hai !

Syed Bilal

Labels:

Shaam Roz Aa Jaati Hai Mairey Darwazey Par

Shaam Roz Aa Jaati Hai Mairey Darwazey Par
Mairi Tanhaai Ka Tamasha Daikhney Ke Liye

Sooraj Roz Nikal Aata Hai
Mujhey Umeed Dikhaney Ko

Chaand Bhi Pandra Bees Dinon Tak Jhalak Dikhata Hai
Aatey Jaatey Mousam Jaisey

Waswasey Aur Khof Bhi Aatey Hain
Andhaira Bhi Bisaat Bhar Darata Hai

Zindagi Bhi Door Kharri Hansti Hai
Kal Barish Ne Bhi Darawa Diya Kabhi Na Barasney Ka

Khizaan Ke Patey Bhi Ruswayion Say Daraney Lagey
Barf Tak Ne Apni Sard Banhon Mein Panah Deney Ko Kaha

Sabhi Aaye Baari Baari
Sirf Tum Nahin Aaye !!!

Syed Bilal

Labels:

Tum Ko Aana Ho Ga

Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana Hoga

Na Samjhna K Tumse Bicharh K Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga

Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaiee Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga

Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap
Dekhna Aik Din Sanam Aapko Pashtaana Hoga

Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaounga
Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga

Abhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K Aap
Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina Hoga

Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aye Sanam
Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga
From:Aslam Gul

Labels:

JIS TARAH DHUDH MAI

Jo bhi dukh yaad na tha yaad aaya,
Aaj kya janiye kya yaad aaya,

Phir koi haath hai dil par jaise,
Phir tera ahd-e-wafa yaad aaya,

Jis tarah dhund mein lipte hue phool,
Ek ek naksh tera yaad aaya,

Aisi majboori ke aalam mein koi,
Yaad aaya bhi to kya yaad aaya,

Yaad aaya tha bichhadna tera,
Phir nahi yaad ke kya yaad aaya,

Jab koi zakham bhara daag bana,
Jab koi bhool gaya yaad aaya,

Ye mohabbat bhi hai kya rog,
Jisko bhoole woh sada yaad aaya..!!!
From:!! - * someone * - !!

Labels:

Daikhey Huwey Kisi Ko Bohat Din Guzar Gaye

Daikhey Huwey Kisi Ko Bohat Din Guzar Gaye
Iss Dil Ki Be-basi Ko Bohat Din Guzar Gaye

Har Shab Chaton Pey Chaand Utarta To Hai Magar
Iss Ghar Mein Chaandni Ko Bohat Din Guzar Gaye

Koi Jawaaz Dhoond Gam-e-Naa-shanaas Ka
Be-wajah Be-kali Ko Bohat Din Guzar Gaye

Abb Tak Akailey Pan Ka Musalsal Azaab Hai
Duniya Say Dosti Ko Bohat Din Guzar Gaye

Teri Rafaqatein To Muqadar Mein Hi Na Theen
Abb Apni Hi Kami Ko Bohat Din Guzar Gaye

Mudat Huyi Hai Toot Ke Roya Nahin Hoon Main
Iss Chain Ki Gharri Ko Bohat Din Guzar Gaye

Jo Aitbar Zakhm-e-Hunar Ne Ataa Kiya
Bilal Woh Shayari Ko Bohat Din Guzar Gaye…

Syed Bilal

Labels:

Mein Pyar Ke Iss Paak Naam Ko Ikk Naya Naam Dey Jaoon Gaa !

Iss Zindagi Mein Jo Maira Hai, Woh Sab Kuch Tumhara Hi To Hai
Inn Saanson Ko Faqat Teri Iss Chahat Ka Ikk Sahara Hi To Hai

Na Kabhi Jaana Yoon Chorrh Akela,Ye Iltijah Hai Mairey Dil Ki
Ekk Ho Jaaney Ka Sapna Maira Hi Nahin, Ye Tumhara Bhi To Hai

Na-umeedi Ke Iss Rastey Par, Main Khof Kyun Karoon Andhairey Ka
Har Qadam Pey Jagmagata Teri Chaahat Ka, Ikk Sitaara Bhi To Hai

Ye Safar Chahey Taweel Ho Jitna, Kahin Himat Na Yoon Haar Dena
Woh Door Dariya Ke Paar To Zara Daikho, Ikk Kinaara Bhi To Hai

Tumharey Ansoo-on Ka Pehley Mairi, Inn Ankhon Say Jaari Hona
Ye Khuda Ki Taraf Say Aey Mairey Humdum, Ikk Ishaara Hi To Hai

Jiss Sheeshey Ke Makaan Ko, Barey Pyar Say Tha Ghar Banana Chaha
Qareeb Say Daikho Zara Uss Ko, Woh Humara Hi To Hai !

~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*

Main Khuda Ka Kabhi Bhi Na Shukar Adaa Kar Paoon Gaa
Par Ussey Kitna Chaahta Hoon Ye Dunya Ko Dikhaoon Gaa

Log To Pyar Ke Naam Ko Aisey Badnaam Kar Detey Hain
Mein Pyar Ke Iss Paak Naam Ko Ikk Naya Naam Dey Jaoon Gaa !

~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*~~*

Syed Bilal

Labels:

COLLECTION OF MY HINDI SHAYRI SMS

1) Kitnon ki takdeer badlni hai tumhe,
kitno ko rasto pe lana hai tumhe,
aapni hat ki lakiro ko mat dekho,
in lakiro se aage jana hai tumhe....

2) Hame pataa hai Aap bahut Bizzy hain, Zyaada nahi par thode se
crazzy hain. Maana ke milna bahut mushkil hai, Per mobile pe sms karna
to bahut Eazzy hai!

3) DiL k jhakhmo Ko unse chupana pada,palke bhigi thi par muskrana
PADA,kaise ulte hai mohabbat k ye riwaz? Ruthna chahte the hum par
unko manana pada...

4) Yadain woh nahi jo tanhai me ati hai... Yadain woh nahi jo tanhai
me aati hai....Yadain woh hai jo BHID me TANHA kar jati hai.

5) Wo chand jaise aasman me chamakte rahe. Hum raat bhar unki chamak
me khoye rahe.
Jaante hai kabhi na paa sakenge unhe. Phir bhi har dua me unhi ko
mangte rahe..

6) Jane kis baat ki mujhko saja deta hai,meri hasti hui ankhon ko rula
deta hai.Ek muddat se khabar bhi nahi teri,koi is tarah bhi kya apne
dost ko bhula deta
hai.

7) Har rishta mila virasat mein, phir dosti alag se kyon banai hai,
kyunki baki rishte banaye the khuda ne,aur dosti khud khuda ki perchai
hai..

8) Duniya me rehke sapno me kho jao,
kisi ko apna bana lo ya kisi k ho jao,
Agar kuchh bhi nahi ho,
to phir se takiya lo aur so jao!

9) Hamne jo bnaye rishte kaise kaise ho gaye,kabhi apke dost the,ab
aise vaise ho gaye,agar abhi aapne sms na bheje,to hum Samjhenge dost
se pyare paise ho
gaye.

10) Dosti shayad zindgi hoti he, Jo har dilme basi hoti he,Waise to ji
lete he sabi akele magar,Phir b zarurat inki har kisiko hoti he...

fROM:goku9811

Labels: ,

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Bankar
Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Bankar

Chand Nikla Hai Teri Aankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Bankar

Meri Jaagi Huyi Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Bankar

Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai Jo Sheron Ki Tarah
Meray Hontoon Pay Machalta Hai Jo Naghma Bankar

Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Rouh Main Phail Gaya Hai Woh Ujala Bankar

Mera Kya Haal Hai Yeh Aakay Kabhi dekh To Lay
Jee Rahi Hoon Teri Bhoola Hua Vada Bankar

Dhoup Main Kho Gaya Woh Haath Chhura Kar
Ghar Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Bankar

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker
From : truth love

Labels:

~Hum Se Poochiye~

ek pal mai ek sadi ka maza hum se poochhye
do din ki zindagi ka maza hum se poochhye

bholay hai rafta rafta unhai mudato mai hum
qisto mai khud kushi ka maza hum se poochhye

agaz-e-ashiqui ka maza aap janiye
anjam-e-ashiqui ka maza hum se poochhye

hansne ka shauq hum ko bhi tha aap ki tarha
hansiye magar hansi ka maza hum se poochhye

woh jaan he gaye k hume un se pyar hai
ankho ki mukhbari ka maza hum se poochhye

na doost banao Huzeifa, na qareeb lao kisi ko
doosto ki bewafai ka maza hum se poochhye
From:Aslam Gul

Labels:

--YOUN LOAT AAO KEH EK--

*youn loat aao keh ek baar phir say mera wajood,
tumharay sath kay rangon mein kuch is trah rangay,
keh jaisay raat mein phailay sagar ki koi tarpti lehar,
haseen chand ki narm roshni mein behakay [

youn loat aao keh ek baar phir say mera ehsas,
tumharay sath kay naghmon kay sahar mein doobay
keh jaisay madhur sargoshi ka koi khoya howa saaz
apnay suroon kay jaltarang say khud hi lehkay

youn loat aao keh ek baar phir say mera jeevan
tumahary sath ki narm loa say yun chamakay
keh jaisay khoi hoi titli kay udass jeevan mein
kahin say aas ka ek jugno sitara sa chamkay

yuon loat aao keh ek baar phir huma kay rang
tumharay sath kay haseen paloon say yun munawar hoon,
keh jaisay sham kay aasman pay phaili hoi shafaq
zameen O aftab kay milan say sharma kar damkay*
From:!! - * someone * - !!

Labels:

Kya mazaa un say roothnay kaa,Jinn ko fursat nhi manaane kee

Kya mazaa un say roothnay kaa,
Jinn ko fursat nhi manaane kee,

Kyun yeh hasrat thee dil lagaane kee,
Thee na himmat agar nibhaane kee,
Maang kar ham say lay liya hota,
Kya zaroorat thee dil churaane kee,
Kaun aayegaa bhool kar raasta,
Dil ko kyun zidd hai ghar sajaane kee,
Abb nhi aas kuchh rihaayi kee,
Baat chhedo na ashiyaane kee,
Rangg tum bhi badlaty ho pall-pall,
Khoob tasveer ho zamaane kee,
Buutt ho kaabaa ho ya kaaleesaa ho,
Ham ko aadat hai sarr jhukaane kee,
Tum nay insaaf kuchh kiya aisay,
Gou adaalat ho zamaane kee,
Kya mazaa un say roothnay kaa,
Jinn ko fursat nhi manaane kee,

Kaaleesaa ……..church
From: Jaswinder Singh Riat

Labels:

~~*Guzaarey Thay Woh Pyarey Lamhey, Jo Banhon Mein Teri~~*

~~*Guzaarey Thay Woh Pyarey Lamhey, Jo Banhon Mein Teri~~*

Guzaarey Thay Woh Pyarey Lamhey, Jo Baanhon Mein Teri
Khusboo Ban Ke Jee Rahey Hain, Woh Saanson Mein Mairi

Haathon Mein Utha Loon Tum Ko, Barra Lamba Hai Safar
Chubhey Kaantey Sab Mujhey Woh, Jo Hon Raahon Mein Teri

Pakra Haath Tha Jo Tumhara, Wajah Uss Ki To Yehi Thi
Sachaai Jhalak Rahi Thi Aisey, Sab Waadon Mein Teri

Kuch Bhi Kaho Ye Bandhan, Itna Kamzor To Nahin Hai
Ke Bass Reh Jaaon Ikk Yaad Ban Kar, Yaadon Mein Teri

Kaisey Bhula Doon Pal Woh Saarey, Jab Tum Ne Ye Kaha Tha
Ke Tumhari Dunya To Abb Rahey Gi, Sada Baanhon Mein Mairi

Abb Kehte Ho Tum Ke Raasta, Mujh Say Kar Liya Juda Hai
Kya Pehley Ki Tarah Phir Aa Jaoon, Main Baaton Mein Teri?

Mairey Pyar Ki Hai Jo Shidat, Tumhein Khoob Khabar Hai Iss Ki
Har Aansoo Mairi Aankh Say Nikla, Tha Jo Aankhon Mein Teri

Dil Ko Jala Loon Apney, Par Itni Sii Shart Pey 'Bilal'
Jo Iss Ke Jalney Say Roshni Aa Jayey, Yoon Raaton Mein Teri !

Syed Bilal
Reply at bilal_honest007@yahoo.com

Labels:

Tumhari Aankh Say Girey Khoon Aanso-on Ki Jagah

Jab Tumhari Aankh Say Girey Khoon Aanso-on Ki Jagah

Jab Tumhari Aankh Say Girey Khoon Aanso-on Ki Jagah
Tab Jaano Gey Tum Judai, Kis Cheez Ko Kehtey Hain

Jab Har Koi Tumhein Be-wafa Sa Lagney Lagey Kuch Aisey
Tab Jaano Gey Tum Be-wafai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain

Jab Saadgi Ke Badley Mein, Tumhein Kuch Na Haasil Ho
Tab Jaano Gey Tum Buraai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain

Jab Dil Pey Haath Phairney Say, Uss Ka Naam Likha Mehsoos Ho
Tab Jaano Gey Tum Likhaai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain

Jab Pyar Mein Tumhein Ghamon Ki Dolat Haasil Ho Jayey
Tab Jaano Gey Tum Kamaai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain

Jab Tumhara Dil Tumhari Maney, Na Ke Tum Uss Ki Maano
Tab Jaano Gey Tum Rihaai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain !

Syed Bilal
Reply at bilal_honest007@yahoo.com

Labels:

Mujhay na dafan karo main abhi tou zindaa hoon - Hindi Shayari

Mujhay na dafan karo main abhi tou zindaa hoon,

Haseen shaam ko barbaad iss taran karna,
Kaha thaa kisnay usay yaad iss taran karna ?
Kisi taran kee bhi dewaar darmiyaan mein na ho,
Tamaam shehar ko abaad iss taran karna,
Ajeeb shaks hai,zaalim hai,zood ranjh bhi hai,
Ussay garaan na ho fariyaad iss taran karna,
Mujhay na dafan karo main abhi tou zindaa hoon,
Yeh rasam hai, tou merey baad iss taran karna,


Zood ranjh-------sensitive

Garaan ----------- to feel bad

mail compiled by,
jass_cancerian

Labels:

14 January 2008

Kab aate ho? kab jaate ho?

Na aamad ki aahat aur na jaane ki tohh milti hai
Kab aate ho kab jaate ho
Imli ka ye pair hawa mein hilta hai tu
Einton ki deewar pe parchai ka cheenta parta hai
Aur jazb ho jaata hai jaise
Sookhi matti pe koi paani ke qatre phaink gaya ho
Dheere dheere aangan mein phir dhoop sisikti rehti hai
Kab aate ho kab jaate ho
Band kamre mein jub kabhi diye ki lau hil jaati hai tu
Aik bara sa saaya mujh ko ghoont ghoont peene lagta hai
Aankhein mujh se door beth ke mujh ko dekhti rehti hain
Kab aate ho kab jaate ho
Din mein kitni baar mujhe tum yaad aate ho


(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ ------Usman Khalid

Labels:

Na Karo...

Door nigahon se baar-baar jaaya na karo,
Dil ko is kadar tadpaya na karo,
Tum bin ek pal bhi jee na sakenge hum,
Yeh ehsaas baar baar dilaya na karo...

Labels: ,

SMS Shayari

youn loat aao keh ek baar phir say mera wajood,
tumharay sath kay rangon mein kuch is trah rangay,
keh jaisay raat mein phailay sagar ki koi tarpti lehar,
haseen chand ki narm roshni mein behakay.


youn loat aao keh ek baar phir say mera ehsas,
tumharay sath kay naghmon kay sahar mein doobay
keh jaisay madhur sargoshi ka koi khoya howa saaz
apnay suroon kay jaltarang say khud hi lehkay.


youn loat aao keh ek baar phir say mera jeevan
tumahary sath ki narm loa say yun chamakay
keh jaisay khoi hoi titli kay udass jeevan mein
kahin say aas ka ek jugno sitara sa chamkay.


yuon loat aao keh ek baar phir huma kay rang
tumharay sath kay haseen paloon say yun munawar hoon,
keh jaisay sham kay aasman pay phaili hoi shafaq
zameen O aftab kay milan say sharma kar damkay.

Labels:


 
Google