Hindi Shayari : कविता, गीत, शेर-शायरी, और गाने

07 February 2008

Mujhay Yaad Mat Kiya Karo - Shayari

Mujhay Yaad Mat Kiya Karo
Mujhay Dil k Aangan Mein Kahin Dafn Kar Do
Uss Pe Chirag-e-Tamanna Bhuja Dalo
Ser-e-Shab Tairgii Mein Guzrey Din
Yun Talash Mat Kiya Karo
Mujhay Yaad Mat Kiya Karo
Chandni Se Na Kuch Kaho
Na Hanso Na Baatein Kiya Karo
Sar-e-Raah Apna Bharam Yun
Tabah Mat Kiya Karo
Mujhay Yaad Mat Kiya Karo
Gulistan Mein Koi Gul Khilay
Aur Koi Rahroo Usay Torr Ley
To Hasrat Se Na Taka Karo
Sar-e-Sham Shafaq Ko Dekh Kar
Na Nazron Mein Yun Bhara Karo
Mujhay Yaad Mat Kiya Karo
Samander k Pass Jao Kabhi
To Lehron Mein Paon Dalay Hue
Aati Jati Moujon Se Yun
Kalam Mat Kiya Karo
Mujhay Yaad Mat Kiya Karo
Kabhi Kholo Purani Diary
To Tamam Safhey Parha Karo
Mera Naam Dekh Kar Samney
Safha Palat Mat Diya Karo
Mujhay Yaad Mat Kiya Karo
Barastii Barish Mein Tehla Karo
Khoob Hanso Baatein Kiya Karo
Yun Qatra Qatra Thaam Kar
Mera Naam Mat Liya Karo
Mujhay Yaad Mat Kiya Karo
Shab Ko Yun Guzaroo k
Tanhaii Na Tumharey Pass Aye
Na Dareechon Se Jhank Jhank Kar
Tumhein Chaandni Sataye
Aur Tum Dair Talak Yun Chand Se
Baatein Mat Kiya Karo
Mujhay Yaad Mat Kiya Karo
Suno...
Yeh Jo Chand Hay Mujhay Dekh Kar
Monh Pher Leta Hay Ab
Kabhi Baag Jaon To Phool b Shikwa Kunaa
Mujh Se Baat Nahi Kartey Hain Ab
Samander Ki Taraf Niklon Kabhi
To Lehrein Chor Deti Hain Paon Mery
Barish k Tamam Qatrey Daman Bachatey Hain
Mujh Par Barastey Hi Nahi
Shafaq b Mujhay Dekh Kar
Chupa Leta Hay Khud Ko Badal Mein
To Dekho!
Yun Mujhay Na Door Karo Tamam Aalam Se
Meri Zeest Ko Aey Nishat-e-Mann
Yun Azab Mat Kiya Karo
Mujhay Yaad Mat Kiya Karo
Mujhay Yaad Mat Kiya Karo..!!!



Teri judai bhi hamein pyar karti hai, teri yaad bahot
bekrar karti hai, vo din jo tere sath guzare the,
talash unko nazar bar bar karti hai.


Raj.

Da way i am.

Labels: , , ,

Shayari

Hum zamaaney kay sataaye hain bohut,
Apnay seenay say lagaa lou hum ko,

Sub-haa hoti hai chhupaa lou hum ko,
Raat bhar chaahney vaalo hum ko,
Hum haqeeqat hain nazar aatey hain,
Daastaano mein chhupa lou hum ko,
Dil naa paa jaaye kahin shabb kaa raaz,
Sub-haa say pehlay uthaa lou hum ko,
Hum zamaaney kay sataaye hain bohut,
Apnay seenay say lagaa lou hum ko,
Waqt kay honth hamein chuu leingay,
Unkahey bol hain gaa lou hum ko,
Kall khareedaaron kay pehrey hongay,
Aaj kee raat churaa lou hum ko,

shabb.........night

mail compiled by,
jass_cancerian

Labels: , , ,

05 February 2008

Kab kaun kisi ka hota hai - Hindi Shayari

Ke Tujh Se Juda Hokar Bhi
Jeeney Ki Aadat Hogayee

Tum Laut Ke Aaogey Humse Milne
Roz Dil Ko Behlane Ki Aadat Hogaye

Tere Waade Pe Kiya Bharosa Humney
Shab-Bhar Tera Intezaar Karne Ki Aadat Hogaye

Khushi Main Bhi Hum Kya Muskarate Ke
Teri Judaai Mey Rone Ki Aadat Hogayee

Kaafile Nikal Gaye Humey Chhor Ke
Ab To Tanha Safar Ki Aadat Hogaye,

Har Morh Par Mili Ghum Ki Parchhaiyaan
Zindagi Se Samjhota Karney Ki Aadat Hogayee


Syed Bilal

Labels: , , ,

Zindagi Se Samjhota Karney Ki Aadat Hogayee - Shayari

Ke Tujh Se Juda Hokar Bhi
Jeeney Ki Aadat Hogayee

Tum Laut Ke Aaogey Humse Milne
Roz Dil Ko Behlane Ki Aadat Hogaye

Tere Waade Pe Kiya Bharosa Humney
Shab-Bhar Tera Intezaar Karne Ki Aadat Hogaye

Khushi Main Bhi Hum Kya Muskarate Ke
Teri Judaai Mey Rone Ki Aadat Hogayee

Kaafile Nikal Gaye Humey Chhor Ke
Ab To Tanha Safar Ki Aadat Hogaye,

Har Morh Par Mili Ghum Ki Parchhaiyaan
Zindagi Se Samjhota Karney Ki Aadat Hogayee

Syed Bilal

Labels: , ,

Tum laut ke aaogey humsey milney - Shayari

Tum laut ke aaogey humsey milney
roz dil ko behlaney ki aadat hogayee

terey waadey pe kya bharosa kiya humney
keh shab bhar tera intezaar karney ki aadat hogayee

khushi mei bhi hum kya muskuratey k
teri judaai mei roney ki aadat hogayee

kaafiley nikal gaye humein chhor k
k... ab to tanha safar ki aadat hogayee

har morh par mili ghum ki parchhaiyaan
zindagi se samjhota karney ki aadat hogayee

jaantey thay keh nahi hosaktey kabhi tum hamarey
phir bhi khuda se tujhey maangney ki aadat hogayee

paiman-e-wafaa kya hai humey kya maloom
k bewafaaon se dil laganey ki aadat hogayee


Syed Bilal

Labels:


 
Google