Hindi Shayari : कविता, गीत, शेर-शायरी, और गाने

27 March 2008

Shayari # Yeh Dil Ho Gaya Tumhara

Yeh Dil Ho Gaya Tumhara

Yeh Dil Ho Gaya Tumhara,
Har Yaad Mein Ho Tum,
Pukarta Hai Tumhe,
Kyun Nahi Laut Aate Ho Tum.
Saansein Hain Chalti,
Har Saans Mein Ho Tum,
Tanha Ki Tanhaai Hai Roti,
Phir Bhi Khaamosh Ho Tum...

Labels: , , , , , ,

Shayari # Dil kehta hai chal unse mil

Dil kehta hai chal unse mil

Dil kehta hai chal unse mil uthte hai kadam ruk jaate hai,
dil humko kabhi samjhata hai hum dil ko kabhi samjhate hai,
dil ke halat na tum samje naa hum samaj paate hain,
apne aap ko khud hi gehrai mein liye jaate hain,
Anjaam pata nahi kya hoga is haalat ka,
Lekin jab bhi Sochte hain Khud ulaj jaate hain........

Labels: , , ,

Shayari # Ud gaya rang

Ud gaya rang

Ud gaya rang, khusboo hawa ho gayi,
Dekhiye zindagi kya se kya ho gayi,
Dil se rukhsat hui jab khushi yu laga,
Baap ke ghar se beti vida ho gayi,
Uski ankhon ne chalkaye ansoo mere,
Uski surat mera aaina ho gayi..

Labels: , , , , , ,

23 March 2008

Kya naam du is rishte ko tere : Shayari

Kya naam du is rishte ko tere
mujhe maloom nahin..
dil kehta hai ke hai ye bahut purana rishta
vahee rishta..
jo chand ka hai chandni se..
sitaro ka hai aasma se..
hi.



samunder ka hai gehraee se..
jism ka hai aatma se..
phoolo ka hai khooshboo se..
suraj ka hai roshni se..
kya naam du is rishte ko tere
mujhe maloom nahin..
kuch hee dino kee ye mulakato ne
bechen kur dala hai dil ko



khayal rehta hai tumhara hur dum, hur pal, hur lumhah..
chavi hai tumhari ankho mei
khooshboo hai tumhari sanso mei
tum duur ho tuo paas ho
pass ho to duur
ye kya hai ? kyu hai ? kaise hai ?
kuch maloom nahin..
is rishte kee hud
mujhe maloom nahin
kya ye sahi hai ya galut ?
mujhe maloom nahin
kya naam du is rishte ko tere
mujhe maloom nahin....... ..

Labels:

Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon : Hindi Shayari

Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon

Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon, Tum Chupkey Se Aa Jatey Ho
Or Jhaank Kay Meri Aankhon Mein Beetay Din Yaad Dilatey Ho

Mastana Hawa Kay Jhonkon Se Har Baar Woh Pardey Ka Hilna
Pardey Ko Pakarney Ki Dhunn Mein Do Ajnabi Haatoun Ka Milna

Aankhon Mein Dhunwa Cha Jana Sasoun Mein Sitarey Se Khilna
Rasty Mein Tumhara Mur Mur Kar Takna Wo Mujhe Jatey Jatey

Aur Mera Thitak Kar Ruk Jaana, Chilman Kay Kareb Aatey Aatey
Nazroun Ka Taras Kar Reh Jaana, Ek Aur Jhalak Paatey Paatey

Baaloun Ko Sukhaney Ki Khatir, Kothey Pe Woh Mera Aa Jaana
Aur Tum Ko Muqabil Patey Hi Kuch Sharmana, Kuch Bal Khaana

Humsayon Kay Dar Se Katrana, Ghar Walon Kay Dar Se Ghabrana
Ro Ro Kay Tumhein Khat Likhti Hoon, Aur Khud ParDh Kar Ro Lati Hoon

Halaat Kay Taptey Toufaan Mein Jazbaat Ki Kashti Khayti Hoon
Kaisey Ho, Kahaan Ho, Kuch Tou Kaho, Mein Tum Ko Sadayien Deyti Hoon

Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon, Tum Chupkey Se Aa Jatey Ho
Aur Jhaank Kay Meri Aankhoun Mein Beetay Dinn Yaad Dilatey

Labels:


 
Google