Hindi Shayari : कविता, गीत, शेर-शायरी, और गाने

11 April 2008

Romantic Shayari

Dil Ki Baat
kya hassen kwaab tha, mai tha
woh thi, aur gardihs me chand tha
hathon me hath the, aur waqt ka saath tha
hotho pe hoth the, umango ka saagar tha
kaha khogaya woh mera haseen khwaab?
hoga uske aankhon me, jo rahthi hai mere dil ke saath.

Labels: , , , ,

Mohhabat Mita Do!

ab tere bin is jawani ka kya haal hoga
haatho me jaam hoto pe tera naam hoga
ya khuda agar pyaar ka ye haal hoga
to teri is duniya ka kya hoga?
jalado ye duniya jalado ummedey
jalado ye logo ke dilo me mohabbat
na rahe deewana na rahe deewani
na ho ab kisi ke dilo ki neelami
aao us duniya me chale hum
na rahe jaha dil, na ho dil ka tutna aur gham.

Labels: , , , , , , ,

Zindagi Ka Safar

woh la khada kardi mujhe zindagi ke us mod par
lautna jaha se to sirf khak bankar
mujhpe na rona O mere ghar walo
mere hal na dekh sakoge mujhe zinda pakar
woh kyon aayi meri duniya me mohabbat bankar
iske pehle mai khush tha zindagi ke safar par
hojaye kuch aisa khuda meherbaan hokar
aur leyaon use ghar mai dulhan banakar.

Labels: , , , ,

Be-vajah bojh naa dil par bhaari rakhiye

Be-vajah bojh naa dil par bhaari rakhiye,
Zindagi jang hai iss jang ko jaari rakhiye,
Kitnay din zindaa rahe isko naa giniye sahib,
Kiss taran zindaa rahe iss kee shumaari rakhiye,
Khud bhalaa ban kay jo gairon ko buraa batlayein,
Aisay logon say zaraa duur kee yaari rakhiye,
Zindagi-bhar kay liye ham na kahein-gay kuchh bhi,
Aaj bass aaj zaraa baat hamaari rakhiye,
Iss kee POOJA kahin ishwar ko na kar day badnaam,
Abb tou mandir mein koi aur pujaari rakhiye,
Main kalam say nahi likh paauungaa iss daur kaa haal,
Meray hathon mein koi tez kataari rakhiye

Labels:


 
Google