Hindi Shayari : कविता, गीत, शेर-शायरी, और गाने

27 May 2008

Jo dar gaya so mar gaya!

jo dar gaya so mar gaya
लहरों से डर कर नौका पार नहीं होती,

कोशिश करने वालों की कभी हार नहीं होती.

नन्हीं चींटी जब दाना लेकर चलती है,

चढ़ती दीवारों पर, सौ बार फिसलती है.

मन का विश्वास रगों में साहस भरता है,

चढ़कर गिरना, गिरकर चढ़ना न अखरता है.

आख़िर उसकी मेहनत बेकार नहीं होती,

कोशिश करने वालों की कभी हार नहीं होती.

डुबकियां सिंधु में गोताखोर लगाता है,

जा जा कर खाली हाथ लौटकर आता है.

मिलते नहीं सहज ही मोती गहरे पानी में,

बढ़ता दुगना उत्साह इसी हैरानी में.

मुट्ठी उसकी खाली हर बार नहीं होती,

कोशिश करने वालों की कभी हार नहीं होती.

असफलता एक चुनौती है, इसे स्वीकार करो,

क्या कमी रह गई, देखो और सुधार करो.

जब तक न सफल हो, नींद चैन को त्यागो तुम,

संघर्श का मैदान छोड़ कर मत भागो तुम.

कुछ किये बिना ही जय जय कार नहीं होती

कोशिश करने वालों............

Labels:

25 May 2008

Hindi Shayari : Apne Haathon Se

Apne Haathon Se ...

Apne Haatho Se Yun Chehre Ko Chupate Q Ho,
Mujh Se Sharmate Ho To Saamne Atay Q Ho...

Tum Kabhi Mere Tarha Kar Bhi Lo Ikraar-e-Wafa,
Pyar Karte Ho To Phir Pyar Chupate Q Ho...

Ashq Aankho Mein Mere Dekh K Rote Q Ho,
Dil Bhar Aata Hai To Phir Dil Ko Dukhate Q Ho...

In Se Vaabasta Hai Jab Mera Muqadar Phir ....!!!
Mere Shano Se Ye Zulf Hatatay Q Ho......!!

Roz Mar Mar K Mujhe Jeenay Ko Kehte Q Ho,
Milne Aatay Ho To Phir Laut K Jatay Q Ho...

Apne Haatho Se Yun Chehre Ko Chupate Q Ho,
Mujh Se Sharmate Ho To Saamne Atay Q Ho...

Labels: , , ,

Love Shayari "Mohabbat ki Pehli"

Mohabbat ki Pehli Kari Ho Gayi Hoon

Ghulabon se Mehki Lari ho gayi hoon
Mohabbat ki Pehli Kari ho gayi hoon

Mujhe Tuu ne aisi Nighaah se dekha
K Mai ek Pal mai Bari ho gayi hoon

Sar-e-Shaam aane ka hai us ka Wada
Mai Subah se Darr per Khari ho gayi hoon

Na Churwa sakoge kabi Haath apna
Mohabbat bhari Hath-Kari ho gayi hoon

Boht Door hai Mujh se Khushyon ka Mosam
Musalsal Ghamon ki Jhari ho gayi hoon

Juda kar na payega ab koi 'MOHSIN'
Wo Khushbu hai, Mai Pankhri ho gayi hoon

Labels: , , , ,

Chup Chup Sey...

Buhat Chup Chup Sey Rehtey Hoo
Na Bantey Hoo , Sanwertey Hoo
Na Koi Baat Kartey Hoo
Bharee Mehfil Main Bhi Aksar
Hamesha Khoye Rehtey Hoo
Oudasee Aankh Main Ley Kar
Har Eik Chehrey Ko Taktey Hoo
Koi Jab Yaad Ata Hai
Tu Thandee Aah Bhartey Hoo
Tu Khul Kar Kyun Nahin Kehtey
Kis Sey Pyaar kartey Hoo
Kahan Dil Choor Aye Hoo ?


Its Better To Be Defeated On Principles Than To Win On Lies.

Regards.

Muhammad Fahim Memon

Labels:

Kaash aap hamare hote...

Mohabbat ki raahon mein hum sath hote
Soo dard milte phir bhi na roote
Kaash aap hamare hote

Keh na paaye hum dil ki baat ko
Sun na paaye tum dil ki baat ko
Har pal hum ko tarpayegeen yeh khamoshiyan
Yeh bhi sach hai tum bewafa nahi
Yeh bhi sach hai hum bewafa nahi
Yeh bhi sach hai chahat na milli hai yeh dooriyan
Iss dil ke aise tukre na hote
Kaash aap hamare hote

Toota meri chahat ka silsala
Shayad yeh tha kismat ka faisla
Hum shikwe or shikayat bolo kis se karein
Yeh na pocho kiya mere pass hai
Tanhai hai or Teri Yaad Hai
Toote dil se aahein bhi bharein to kab tak bharein
Hum apni halat pe aise na roote
Kaash aap hamare hote...

Labels: , , ,

Hindi Shayari - Toota howa shesha phir jora nahi jata

Toota howa shesha phir jora nahi jata
Toota howa shesha phir jora nahi jata
Aankh say nikla howa ansoo phir wapis nahi ata.

Tum tu keh ker bhool chukay ho sab kuch
Lekin mujhsay wo pal bhoolaya nahi jata.

Teri mohobbat ne zanjeerey dali hain esi
Ke churana bhi chahoon to choraya nahi jata.

Mehfil main bhi mujh ko tanhai nazar ate hai
Teray bin ye dil kahi or lagaya nahi jata.

Mere dil ki deewaroo par sirf tera he nam likha hai
Mitana bhi chahoon to mitaya nahi jata.

Saans ruknay say pehlay aik jhalak dikha jana
bewafa zindagi ka aitbar kiya nahi jata

Syed Bilal

Labels: , ,


 
Google