Hindi Shayari

20 September 2008

Tu Kabhi Khud Ko : Hindi Ghazal

Aankh se door na ho dil se utar jaayega,
Waqt ka kya hai guzarta hai guzar jayega,

Itna maayus na ho Khilvat-e-Gam se apne,
Tu kabhi Khud ko bhi dekhega to Dar jaayega,

Tum sar-e-raah-e-vafaa dekhte reh jaaoge,
Aur vo baam-e-rafaaqat se utar jayega,

Zindagi teri aata hai to ye jaanevaala,
Teri bakhshish teri dehaliz pe dhar jayega,

Dubate Dubate kashti to ochhaalaa de duun,
Main nahi koi to saahil pe utar jaayega,

Zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa,
Zaalim ab ke bhi na royega to mar jayega..

Labels: ,

Tanha Bana Diya : - Shayari

Sabse chhupa kar jo wo dard muskura diya,
Usiki hansi ne to aaj mujhe rula diya,

Lehje se uth raha tha har ek dard ka dhuaa,
Chehra bata raha tha k sab kuch gawa diya,

Aawaz mein therao tha aankhon mein nami thi,
Or keh raha tha k sab kuch bhula diya,

Khud bhi wo humse bichhad kar adhura sa hogaya,
Mujhko bhi itne logo mein tanha bana diya....

Labels: , , ,

19 September 2008

Tum Meri Zindagi Ho : Hindi Shayari

Suniye kareeb a k
Yeh dil ka fasila
Mere dil ka fasila
Tum meri zindagi ho
Tum meri bandagi ho
Do jisam aik jaan hain
Hoon ge na hum juda


Dil yeh akela tha
Sapnon ka mela tha
Pyaar tumara jo mila
A k in bahoon main
Pyaar ki panahoon main
Jal gaya bujha huwa deya
Tum ne mujhey dekhaya
Manzil ka raasta


Pyaar ka nazara hay
Samaan pyara pyara hay
jhuum rahi hay yeh fizaa
Sath tumara hay
Bahoon ka sahara hay
Kyun na phir gaye mera jiya
Do dil hain aik dharkan
Do saaz ek sadaaa
Tum meri zindagi ho

Labels: ,

Tum Lout Aao Na : Dard Shayari

Tum lout aao na dekho chand nikla hay
Sitare jagmagate hain
Hamari muntezir aankheen
Duayeen mangeti aankheen
Tumain hi sochti aankheen
Tumain hi dhundhti aankheen
Tumain wapas bulati hain
Yeh dil jab bhi dharakta hay
Tumara naam leta hay
Yeh aansu jab bhi bahte hain
Tumare hi dukh main bahte hain
Barish jab bhi hoti hay
Tumain hi yaad karte hain
Khushi koy aye bhi
Tumare bin adhuri hay
Suno tum lout aao na
Suno tum lout aao na

Labels: ,

Agar Main Bata Doon : Hindi Ghazal

Agar main bata doon
Mere dil main kiya hay
To muj se nigaheen
Churaa to na lo ge haye

Agar bhar gaye meri
Betabiyeh dil
Kaheen muj se daman
Churaa to na lo ge haye

Zubaan chup rahe to
Nazar bolti hay
Nazar chup rahe to
Zubaan doolti hay

Koy raaz dil ka
Jo khul jaye muj se
To muj ko fasana
Bana to na lo ge haye

Naye se naya teer
Barsa rahe ho
Abhi to mujhe tum hi
Tarpa rahe ho

Jo main ne lagayi
Koy choot dil par
To dil ki lagi ko chupa
To na lo ge haye

Dikha kar umangoon ki
Gulpoush raheen
Bulaa to rahi hain
Tumari nigaheen

Mohabbat k rastye main
Jab a gaya main
Qadam apna piche
Hata to na lo ge haye
Agar main bata doon

Labels:

Insaan Hum ko kab Hay Mila : Shayari

Chahi thi dil ne tuj se
Wafa kam bohot hi kam

Shayad ishi liye hay
Gila kam bohot hi kam

Jalte suna charag se
Daman hazaar bar

Daman se kab charag
Jala kam bohot hi kam

Sadiyon se yun to hay
Yahan insaan ka wajood

Insaan hum ko kab hay
Mila kam bohot hi kam

A jaye k aap se pahle
Na aye mout

Ab waqt rah gaya hay
Bohot kam bohot hi kam

Labels: ,

Hindi Shayari

zara si dil mein de jagaah tu…
zara sa apna le banaa…
zara sa khaabon mein sajaa tu…
zara sa yaadon mein basaa…
main chaahun tujhko meri jaan bepanaah
fidaa hoon tujhpe meri jaan bepanaah

wo-o-o … o-o-o…..

zara si dil mein de jagaah tu…
zara sa apna le banaa…
zara sa khaabon mein sajaa tu…
zara sa yaadon mein basaa…

main tere, main tere
kadmon mein rakh dun yeh jahaan
mera ishq dewaangi…

hai nahi, hai nahi
aashiq koi mujhsa tera
tu mere liye bandagi
main chaahun tujhko meri jaan bepanaah
fidaa hoon tujhpe meri jaan bepanaah

wo-o-o … o-o-o…..

zara si dil mein de jagaah tu…
zara sa apna le banaa…
zara sa khaabon mein sajaa tu…
zara sa yaadon mein basaa…

kehe bhi de, kehe bhi de
dil mein tere jo hai chhupaa
khwaahish hai jo teri

rakh nahi, rakh nahi
parda koi mujhse eh jaan
karle tu mera yakeen
main chaahun tujhko meri jaan bepanaah
fidaa hoon tujhpe meri jaan bepanaah

wo-ho… o-o-o-o…

¸.·´¨) ¸.·*¨)
(¸.·´ (¸.·´ .·´
(´¸.·*yours forever.·*·.¸.´¯`>..........

^_^Raj Lalani^_^

Labels: ,

16 September 2008

Love 'n' Romantic Shayari

kal fursat naa mili to kya hoga
itni mohallat naa mili to kya hoga
roz kehte ho kal milenge kal milenge
kal aakhein naa khuli to kya hoga

jagaya unhone aisa k aajtak bhi so naa sake
rulaya unhone aisa k sab k samne ro naa sake
jaane kya baat thee un mein
jabse maanaa unhe aapna tab se kisi k ho na sake

dariya wafaoo ka kabhi sukta nahi
mohabbat mein insaan kabhi jhukta nahi
hum chup hai kisi ki khushi k liye
aur wo sochte hai k dil humara dukta nahi

yu na har baat yaaron se poocho
jo baat raaz ki ho isharo se poocho
lehro se khelna to samander ka khel hai
lagti hai choot kaise kinaro se poocho

Labels: , , ,

Hamara Sath Bas Do Hi Qadam Hay ;- Shayari

Zamana pyaar ka itna hi kam hay
Yeh na jana tha


Hamara sath bas do hi qadam hay
Yeh na jana tha


Khushi agaaz tha meri mohabbat
k fasane ka


Wafa ne khuwaab dekha tha
Nayi duniya basane ka


Magar is khuwaab ki tahbir gham hay
Yeh na jana tha


Bari rangeen baharoon main
Jale ga ashiyaan mera


Lute ga istara manzil pe a k
Kaarwan mera


Mujhe teri mohabbat ki kasam hay
Yeh na jana tha

Labels:

Toh phir aao mujhko rulaao....aa bhi jaao :- Shayari

Toh phir aao mujhko sataao
toh phir aao mujhko rulaao

dil badal bane aankhein behne lagi
aahein aise uthein jaise aandhi chalein
toh phir aao mujhko sataao
toh phir aao mujhko rulaao
aa bhi jaao - 6

ho ho ho........
gum le ja tere, jo bhi tune diye
ya phir mujhko bata, inko kaise sahein
toh phir aao mujhko sataao
toh phir aao mujhko rulaao
aa bhi jaao - 6

ho ho ho.......
abb to iss manjar se, mujhko chale jana hai
jin raahon pe mera yaar hai
unn raahon ko mujhse paana hai
toh phir aao mujhko sataao
toh phir aao mujhko rulaao
aa bhi jaao - 6

¸.·´¨) ¸.·*¨)
(¸.·´ (¸.·´ .·´
(´¸.·*yours forever.·*·.¸.´¯`>...........

RAJ

Labels:

14 September 2008

Aks Khushbo : Shayari

Aks khushbo bikharne se
Na roke koy
Aur bikhar jaoun to muj ko
Na samete koy

Koy ahat koy awaaz koy chaap
Naheen
Dil ki galiyaan bari veraan hain
Aye koy

Jis tarha khwab mere ho gaye
Reza reza
Us tara se na kabhi tuut k
Bikhre koy

Labels:


 
Google