Hindi Shayari

11 October 2008

Shubh Deepawali!

Subko Deepawali ki shubhkamnaye
Hum dete hai aapko lakho duaye.
Naya varsh ho purane jaisa yaadgaar,
Aap sabko mile apni khushiyon ka sansaar.


Happy Diwali!!

Labels: , ,

Diwali wishes for you all.

Hi all,

On the occasion of Diwali a small wish from me to you all.

Diwali ke deepak jag-magaye aapke aangan main,
Saat rang saaje is saal aapke aangan main.

Aaya hai yeh tyohaar kushiyan leke,
Har kushi saaje is saal aapke aangan main.

Roshni se ho roshan har lamha aapka,
Har Roshni saaje is saal aapke aangan main.

Dua hum karte hain aap salamat rahe,
Har dua saaje is saal aapke aangan main.

Labels:

Diwali SMS

Diwali ki Jagmag se Prakashit ho
Apka Sukhmaya Jeewan
Anand, Prem aur Khushiyon se
Prafullit Rahe Apka Tan aur Man
Manzil ki Taraf Badhte Rahen Kadam
Milen Apko Achchhi Safaltayen
Hamari Taraf se Apko Naye Saal ki
Hardik Shubh Kamanayen!

Labels: ,

Wishing you a very Happy Diwali ...

phir aaj diwali aai hai
wo sang baharein laai hai
phir aaj diwali aai hai

wo bachpan kei meethi yaadein
wo saath machana shor shor
wo raat raat bhar aangan mei
dil naache ban kar mor mor
un sukhi se yaadon ko
ye aaj bhigone aai hai
phir aaj diwali aai hai
phir aaj diwali aai hai

chalo ab ghar ko laut chalein
mann baar baar karta hai
koi deep jalaaye, aankho mei
tera intezaar karta hai
es ghar ki bhuli bisri khushi
phir se laut kar aai hai
phir aaj diwali aai hai
phir aaj diwali aai hai

Labels:

Diwali Shayari

Cham Cham karti ayi Diwali
Ghar ghar deepak jalte hain
Dwar dwar saji rangoli
rang anek man harte hain
uthti rasoi se sugandh manmohak
laddu barfi balusahi
kitne pakvan kitni mithai
phhuljhadi ki tadtad sang kilkariyan
fuwaron ke sang chakriyan pyariyan
wo dekho badmash hara bomb laya
kitne jor ka dhamaka machaya
milte logon se dete badhai
har mukh par khusi lehrayi
cham cham karti Lakshmi ayi
sang Sharda Ganesh bhi layi
Dardirata, agyan, vighna harenge
Archit ho hum par anugrah karenge
Unke liye deep jalao
Anandit ho ghar sajao
Ek meri thi pyari behena
Swarg mein hai, koi usko kehna
Lakshmi sang tum bhi ana
Ghar mein pag phir se dharna
Ankhon se surat hatti nahin
Pyari atkheliyan bisarti nahin
Kash tum sang humare hotin
Ankhen deepon mein na rotin
Ish use sambahle rakhna
Swarg ke sab prapya vastu usko dena.

Labels: ,

Sher ho jaye...

Khuda kare humaari dosti aisi ho
Ki Chot tumhe lage aur dard mujhe ho
Dil tumhaara dhadke aur dhadkan meri ho
Naukri tum karo aur salary meri ho

wawawawawawawawawawawawawawawawawa !!!!

Har samundar mein saahil nahin hota
Har jahaaz mein missile nahin hota
Agar Dhirubhai ka sapna nahin hota
To har %$$$ ke paas mobile nahin hota


wawawawawawawawawawawawawawawawaw !!!!

Khud ko kar buland itnaa..
Ke' Himaalay ki choti pe jaa pahunche..
aur khuda tumse puche..
'Abe gadhe... ab utrega kaise '

wawawawawawawawawawawawawawawawaw !!!

jise dil diya woh dilli chali gayi
jise pyar kiya woh italy chali gayi
dil ne kaha khud kushi(sucide) kar le jalim
bijali ko haath lagaya to bijali chali gayi

wawawawawawawawawwawawawawawawawa !!!


Ghar ghar main diya jale
To diwali mat samjho
Agar main tera peeche paroon
To mawali mat samjho

wawawawawawawawawawawawaawawaawa !!!

Unki zulfoon pe pyaar aaya
Paas ja kar dekha tu sardar paya

wawawawawawawawawawawawawawawawa !!!

Patharr kyun marte ho, pura pahaad maar do
Hum yuheeen mar jayenge, sirf ek baar aankh maar do

wawawawawawawawawawawawwaawwaaw !!!

Tere ishq main janam kya se kya haal ho gaya
Badan se badboo aa rahee hai, nahaaye jamana ho gaya

wawawawawawawawawawawawwaawwaaw !!!


Yeh tera chehra hai yaa kele ka chhilka
Jo dekha to dil phisal gaya
wawawawawawawawawawawawawawawawa !!!

Labels: ,

Diwali Shayari

Diwali

Dil walo ki diwali aayi aayi
rang birangi chmakte tare ye kha se layi eska ka sitara hai ab mera hatho main
her ujala es shma se pyaar ke geet gayi chlata jai aasma bhi en sitaro ke
saath
dekh ke chanda muskoraye en ujalo ko aaj
her gher ko raoshan kerne ye aaj aayi
dil walo ki diwali aayi aayi jitne deep hai sab mere man meet hai
en eak eak deep main pyaar ki jeet hai
chaira pe ye sabke khoshya ban ke chayi
dil walo ki diwali aayi aayi ji bher ke diwali manai ge aaj hum
saj sawar ke unse milne jai ge aaj hum
saath apne meet mera wo alyi
dil wali ki diwali aayi aayi
rang birangi chmakte tare ye kha se layi

Labels:

09 October 2008

Chandni Rateen

Thies si jigar main uthti hay
Ek dard sa dil main hota hay
Hum ratoon ko uth kar rote hain
Jab sara alam sota hay
Ho
Chandani rateen
Sab jab soye hum jagen
Troon se kareen bateen
Chandani rateen

Takte takte tuti jaye
Aaj piya na aye rye
Takte takte
Sham sawere dard anokhe utheen
Jiya ghabraye rye
Sham sawere

Ratoon ne meri neend lout li
Dil ke chain churaye
Dukhiya aankheen dhund rahi hain
Wohi pyar ki khateen
Chandani rateen

Pichli raat main hum uth uth kar
Chupke chupke royen rye
Pichali raat main
Sukh ki neend main meet humare
Dees paraye soyeen rye
Sukh ki neend main

Dil ki dharkaneen tujhye poukareen
A ja balam ayi bahareen
Bath kar tanhayi main kar leen
Dukh sukh ki do bateen
Chandani rateen

Labels:

Dekho! Yeh Rasta Dukh K Hay - Hindi Shayari

Yun pyar se muj ko dekho na
Kaheen pyar na tum se kar bathon
Main apne aap se darti houn
Koy dukh na tum ko de bathon

Yeh pyar ajab azaar sa hay
Yahan khud ko bhulna parta hay
Yeh roog bohot bekaar sa hay
Is roog se main darti houn
Meri raheen kanta kanta hain
Us rah pe paoun kiya rakhna

Jahan kaante paoun chumte hain
Aur dukh k badal jhumte hain
Main kiya de sakti houn tum ko
Kuch bhi to mere paas naheen

Tum chaho gar to mil lena
Manoos se logoon ki manned
Lekin yun pyar se dekho na
Koy dukh na tum ko de bathon


Gulfam naqvi

Labels: ,


 
Google