Hindi Shayari

16 October 2009

Diwali Shayari

Diwali aai, masti chahi, rangi rangoli,
deep jalaye, Dhoom Dhadaka, choda phataka, jali Phuljadiyan,
Sabko Bhaye, Wish you Happy Diwali


Aaj se aap ke yaha dhan ki barsat ho,
maa laxmi ka vas ho, sankatto ka nash ho
har dil par aapka raj ho, unnati ka sar par taj ho
ghar me shanti ka vas ho
Happy Diwali


Sirf Dastak hi na degi varan
Viraaje gi "LAXMI JI" aap hi ke ghar Dwaar,
Lou jahan bhi jalti hai RAM ki,
kripa bhi vahin hoti hai HANUMAN ki
Diwali Wishes


Sukh, Shanti, Samadhan, Samruddhi,
Aaishwarya, Arogya, Pratishtha ya
Saptarangi Divya ni aaple Jeevan Prakashmay


Deep Jalte jagmagate rahe,
Deep Jalte jagmagate rahe,
Hum aapko Aap hame yaad aate rahe,
Jab tak zindagi hai,
dua hai hamari Aap Chand ki tarah Zagmagate rahe...
Happy Diwali


Lakhsmi ka Hath ho,
Saraswathi ka Sath ho,
Ganesha ka niwas ho,
Aapke jeevan mai prakash hi prakash ho...
Diwali Wishes


Diwali Parva hai Khushio ka,
Ujalo ka, Laxmi ka....
Is Diwali Aapki Jindagi khushio se bhari ho,
Duniya ujalo se roshan ho,
ghar par Maa Laxmi ka Aagman ho...

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

 
Google