Hindi Shayari

16 July 2009

Aap Bohat Yaad Aatay Hai....

Ghanghoor Ghataey Aate Hain Jab
Nadyaan Jhomte Gaate Hain Jab
Lahrain Shoor Machate Hain Jab
Aap Bohat Yaad Aatay Hain


Badal Baras Kar Chat Jatay Hain
Qatray Mouti Ban Jatay Hain
Kirnay Rang Bikhrate Hain Jab
Aap Bohat Yaad Aatay Hain


Do Dewanay Jab Miltay Hain
Phool Mohabbat Kay Khiltay Hain
Dewaray Bhi Gaate Hain Jab
Aap Bohat Yaad Aatay Hain


Chanda Tumhari Yadain Lay Kar
Kirnoon Ke Barsatain Lay Kar
Chaandni Ratain Aate Hain Jab
Aap Bohat Yaad Aatay Hain

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

 
Google