Hindi Shayari

30 December 2009

Unki yaad aaye to dil kya kare...

Unki yaad aaye to dil kya kare
Yaar dil se na jaye to dil kya kare

Socha tha sapno main mulakat hogi magar
Neend na aaye to dil kya kare

Kaash wo meri taqdeer ho jaye
main uska aena wo meri tasveer ho jaye

uski yad ka her lamha meri jageer ho jay

zuban khamosh, aankhon main nami hogi
yahi bus ek daastan-e-zindagi hogi

bharne ko to har zakhm bhar sakte jayege
kaise bharegi woh jagah jahan aapki kami hogi...

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Sad Hindi Shayari

Rat kat ti rahi chand dhalta raha,
Aatish-e-hijer mein koi jalta raha,

Ghar ki tanhaiyan dil ku dasti hain,
Koi bechain karwat badalta raha,

Aass-o-ummeed ki shamma roshan rahi,
Ghar ki dehleez ku koi dekhta raha,

Labels: ,

Subscribe to Hindi Shayari

Kaha tha tum say mera intezaar na karna...

Kaha tha tum say mera intezaar na karna
dunya chahey jo kahey tum aitebar na karna
Aisa ho chuka hai kayee bar pehlay bhi
ab ki bar tum koi bhi sawal na karna
Din raat kat rahey hein ab to ussi k khyal mein
wo lamhein wo ratein,unko yaad bar bar na karna
Zindagi tanha hi sahi..kat rahi hai ab tak
kis nay keh diya tha mohabbat ka izhaar na karna...

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

 
Google