Hindi Shayari

30 December 2009

Unki yaad aaye to dil kya kare...

Unki yaad aaye to dil kya kare
Yaar dil se na jaye to dil kya kare

Socha tha sapno main mulakat hogi magar
Neend na aaye to dil kya kare

Kaash wo meri taqdeer ho jaye
main uska aena wo meri tasveer ho jaye

uski yad ka her lamha meri jageer ho jay

zuban khamosh, aankhon main nami hogi
yahi bus ek daastan-e-zindagi hogi

bharne ko to har zakhm bhar sakte jayege
kaise bharegi woh jagah jahan aapki kami hogi...

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

Sad Hindi Shayari

Rat kat ti rahi chand dhalta raha,
Aatish-e-hijer mein koi jalta raha,

Ghar ki tanhaiyan dil ku dasti hain,
Koi bechain karwat badalta raha,

Aass-o-ummeed ki shamma roshan rahi,
Ghar ki dehleez ku koi dekhta raha,

Labels: ,

Subscribe to Hindi Shayari

Kaha tha tum say mera intezaar na karna...

Kaha tha tum say mera intezaar na karna
dunya chahey jo kahey tum aitebar na karna
Aisa ho chuka hai kayee bar pehlay bhi
ab ki bar tum koi bhi sawal na karna
Din raat kat rahey hein ab to ussi k khyal mein
wo lamhein wo ratein,unko yaad bar bar na karna
Zindagi tanha hi sahi..kat rahi hai ab tak
kis nay keh diya tha mohabbat ka izhaar na karna...

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

19 September 2008

Tum Lout Aao Na : Dard Shayari

Tum lout aao na dekho chand nikla hay
Sitare jagmagate hain
Hamari muntezir aankheen
Duayeen mangeti aankheen
Tumain hi sochti aankheen
Tumain hi dhundhti aankheen
Tumain wapas bulati hain
Yeh dil jab bhi dharakta hay
Tumara naam leta hay
Yeh aansu jab bhi bahte hain
Tumare hi dukh main bahte hain
Barish jab bhi hoti hay
Tumain hi yaad karte hain
Khushi koy aye bhi
Tumare bin adhuri hay
Suno tum lout aao na
Suno tum lout aao na

Labels: ,

Subscribe to Hindi Shayari

29 April 2008

Dard Shayari - Dard to Zindagi Ki Sabse...

Dard to Zindagi Ki Sabse

Dard to Zindagi ki sabse badi sachchai hai,
Zindagi kab bhala Dard se bach payi hai,

MaiNe socha tha dard door hai mujhe se bahut,
Har pal mili mujhe dard se ruswai hai,

Halat-e-dil kaise bataon main tumhe,
Pyar mein tere chot bahut ghadi khayi hai,

Dil ne socha tha kare gaye Mohabbat ki baatain,
Kyun pyar mein ki tune bewafai hai

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

20 April 2008

Dard Shayari - Yaadon Mein Har Pal Rahti Ho Tum

Yaadon Mein Har Pal Rahti Ho Tum

Yaadon Mein Har Pal Rahti Ho Tum,
Kabhi Na Dil Mein Khayaal Ho Tera Kam,
Tamanna Hai Yeh Dilki Mere,
Ki Tujhe Kabhi Chaahun Na Kam,
Bayaan Karun Jau Hai Dil Mein Mere,
Kahe Na Chaahen Hum,
Kahe Na Chaaho Tum,
Par Bayaan Karen Tau Hum Kaise Karen,
Dilse Hothon Tak Aaye Par,
Kahe Na Paayen Hum,Kahe Na Pao Tum.

Labels: ,

Subscribe to Hindi Shayari

16 April 2008

tumhe hum yaad aaye gain! # Hindi Shayari

Tumhe hum yaad aaye gain
Kisi ghulshan main jao gay tumhe hum yaad aaye gain
Koi mehfil sajao gay tumhe hum yaad aaye gain

Sitaare chand sooraj samander ya koi sahil
Tasawwar main jo lao gay tumhe hum yaad aaye gain

Bahut koshish karo gay tum hamari yaad na aaye
Mager jitna bhulao gay tumhe hum yaad aaye gain

Kisi bhi moar ya tareek rah-e-zindagani per
Chiraag-e-dil jalao gay tumhe hum yaad aaye gain

Kabhi chhatt k kisi koone se gehri shaam main ja ker
Koi panchi urao gay tumhe hum yaad aaye gain

Kisi din mood main aa ker kisi saathi ki zulfoon main
Jo tum gajra sajao gay tumhe hum yaad aaye gain

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

04 March 2008

Aansoo : Dard-e-dil Shayari

Mere pehloon mein jo Beh nikly Tumhare Aansoo
Ban gaaye Shaam-e-Muhabat ke Sitare Aansoo

Dekh Sakhta hai Bhala Koun ye piyare Aansoo
Meri Aankhon mein na aa jaay tumhare Aansoo

Apna Moo mere grebaan mein chupati Q ho?
Dil ki Dharkan kahein sun lay na tumhary Aansoo

Shamma ka Aks jhalakta hai jo har Aansoo mein
Ban gaay bheegi howi Raat ke Taare Aansoo

Saaf Iqraar Muhabat ho Zubaan se Q,,Kar
Aankh mein aa gay youn Sharam ke Maary Aansoo

Hijr abhi door hai mein paas hoon'Ae Jan-e-Wafa
Q,howy jaaty hai Be-chain Tumhary Aansoon

Subbah Dam dekh na le koi ye Bheega Aanchal
Meri Chughli kahein khaa de na Tumhary Aansoo



U ME OUR HUM
u_me_hum84@ yahoo.com
u_me_hum84@ hotmail.com
SMS & CALL
00923213204868
00923003459026

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

01 February 2008

Bekhyaal kisi yaad mein - Shayari

Sisakte hain kabhi seham se jaate hain
Khamosh khud hi mein simat se jaate hain
Darre hue se shwaas tadpa sa jaate hain
Bekhyaal kisi yaad mein jab
kabhie tumhein mehsoos karr jaate hain

Banjar se is tann pe yaado ki chadar lipte
Mayoos palko se aansu beh jaate hain
Saawan mein baras jaane k baad
jaise baadal zameen par bikhar jaate hain
Yeh jisam o jaan yoon tanhayi mein kachoot jaate hain
Bekhyaal kisi yaad mein jab
kabhie tumhein mehsoos karr jaate hain

Bin tere khud ko bada tanha paate hain
Muskurate labbo k kissey reh jaate hain
Pehle the tum ab dard aate hai
jab kabhie apne hi saaye se rooth jaate hain
Bekhyaal kisi yaad mein jab
kabhie tumhein mehsoos karr jaate hain

Hazaaro swaalo mein ghir jaate hain
Tanha tanhayio se bharr jaate hain
Akele se khud pe hi
Jahan bhar ki duhayiaan barsaate hain
Bekhyaal kisi yaad mein jab
kabhie tumhein mehsoos karr jaate hain

Khud se ladkar fir uth chale aate hain
Kuch pal tanhayio se veeran jahan mein aa jaate hain
Phir Labbo pe hassi ko bulaate hain
Hum bhi shor mein gum ho jaate hain
Magar dil mein bada pachtaate hain
Bekhyaal kisi yaad mein jab
kabhie tumhein mehsoos karr jaate hai.

Teri judai bhi hamein pyar karti hai, teri yaad bahot
bekrar karti hai, vo din jo tere sath guzare the,
talash unko nazar bar bar karti hai.


Raj.
Raining eyes.

Labels: , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

 
Google