Hindi Shayari

13 December 2009

SMS Shayari Collections

SMS Shayari

Kal na phir ye samaa hoga,
Hum mein se kaun najaane kahaan hoga..?
Murjhaaye phool to mil jaenge kitaabon mein,
Par bicchde Doston ka shayad hi koi pataa hoga..
......................................... <
Kismat par etabar kisko hain
Mil jaye khusi inkar kisko hain
Kuch majbooriya hain mere dost
Warana judai se pyar kisko hain..
......................................... <
Main tod leta agar wo GULAB hoti,
Main jawab banta agar wo SAWAL hoti,
Sab jante hai main nasha nahi karta,
phir bhi pi leta agar wo SHARAB hoti
......................................... <
Shaam chirago se saja rakkhi hain..
Shart logo se laga rakkhi hain,
shayad aa jaye koi humse bhi zyada pyasa,
yahi sochkar thodi si bacha rakkhi ..
......................................... <

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

29 November 2009

SMS Shayari

Woh Keh Gaye Ki Mera Intezaar Mat Karna,
Main Kahu Bhi To Muj Pe Aitbaar Mat Karna,
Wo Kehte hai Ke Mujhe Tumse Mohabaat Nahi,
Par Tum Kisi Aur Se Pyaar Mat Karna.....!!!

MERI DUAON ME AAPKA JIKR HAMESHA RAHEGA
AAPKI JINDGI ME MERA SAATH HAMESHA RAHEGA
BHALE HI HUM DUR HI SAHI PAR....
DIL SE DIL KA RISHTA HUMESHA RAHEGA........!

2M ZAMAANE K HO HAMARE SIVA
HUM KISI K NAHI 2MARE SIVA
2MHE YAKIN DILAYE TO KIS TARAH........
AAKHIR KI..........
HAMARA KOI NAHI 2MHARE SIVA

Har hansi ko ikraar nahi kehate,
har jagah baithne ko intezaar nahi kehate,
yun to nazar milti hai hazaronse,
har nazar ke milne ko pyaar nahi kehate ...

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

14 January 2009

Dil Se..

Chahe dil pyaar kare koi humse bhi
Humse koi vada kare aur nibhaye bhi
Khub sataye hame aur manaye bhi
Zindagi bar saat de aur saato janam bhi

Labels: ,

Subscribe to Hindi Shayari

06 January 2009

SMS Shayari

Darte hain agg say kahin jal na jayen..
Darte hain Khwab say Kahin Toot Na jayen..
Lakin Sub Say Ziada Darty hain Es baat say...
Kay App Hamain KAhin Bhool Na jaye..



Yeh mat sochna ki hum bhool jayenge tuemhe...
Door rehkar bhi hamesha chahenge tumhe...
Agar Dost bankar raas na aaye to.....
Bhoot bankar darayenge tumhee...

Labels: ,

Subscribe to Hindi Shayari

25 November 2008

Guzarte The

Hr roz meri rha se wo guzarte the
meri nighe un pr hi tik jati the
kuch chah kr b me keh nhi pata tha
jab qatil nazre mere pr tik jati thE..

Labels: , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

16 November 2008

Hindi SMS

Samajh Jate Thay Hum Unke Dil Ki Baat Ko
Wo Hame Har Bar Dhokha Dete thay
Lekin Hum B Majbur the Dil K Hatho
Jo Unhe bar-bar Mauka Dete thay

Labels: ,

Subscribe to Hindi Shayari

13 November 2008

Baarish

Sawan ki pahli bauchaar mai bheegna achcha lagta hai
Pyar hua hai jab se, jeena achcha lagta hai
Ab ke sawaan kuch aisa baras jaye ki bheege yeh saari duniya
Unke pyar mai har pal bheegna achcha lagta hai.


Ab ke sawan mein paani barsa bahut,
Paani ki har boond mein woh aaye yaad bahut.
Is suhaane mausam mein saath nahi tha koi,
Baadlon ke saath in aankhon se paani baha bahut.


Aaj badal kalay gehray hain,
aaj chand pay lakhon pehray hain,
Kuch tukray tumhari yaadon k,
bari dair say dil mein thehray hain,


Aaj halki halki baarish hay,
aaj sard hawa ka raqs bhi hay,
Aaj phool bhi nikhray nikhray hain,
jaise har shaiy mai unka aks bhi hay,

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

01 November 2008

Tera Shukriya...: SMS Shayari

Tera Shukriya kuchh is tarah se adaa karun,
Tu kare bewafai main sada wafa karun,
Meri mohabbat ne bas itna shikhaya mujhe,
Khud mit jaaooo par tere liya duaa karun...

Labels: ,

Subscribe to Hindi Shayari

09 October 2008

Dekho! Yeh Rasta Dukh K Hay - Hindi Shayari

Yun pyar se muj ko dekho na
Kaheen pyar na tum se kar bathon
Main apne aap se darti houn
Koy dukh na tum ko de bathon

Yeh pyar ajab azaar sa hay
Yahan khud ko bhulna parta hay
Yeh roog bohot bekaar sa hay
Is roog se main darti houn
Meri raheen kanta kanta hain
Us rah pe paoun kiya rakhna

Jahan kaante paoun chumte hain
Aur dukh k badal jhumte hain
Main kiya de sakti houn tum ko
Kuch bhi to mere paas naheen

Tum chaho gar to mil lena
Manoos se logoon ki manned
Lekin yun pyar se dekho na
Koy dukh na tum ko de bathon


Gulfam naqvi

Labels: ,

Subscribe to Hindi Shayari

27 September 2008

Bangal Ka Jadoo...

kia karamat hai police walon ki
wo paarsaaon ko bhi gunhgaar bana dete hain
un ki laathi main hai bangal ka jaadoo
jo goonge ko bhi glookar bana dete hain


Regards
Abdul Ghafoor

Labels: ,

Subscribe to Hindi Shayari

11 July 2008

Ab Woh Toofan Hai Na... : Hindi SMS

Ab woh na Toofan hai na
Woh Shor Hawaon Jaisa...
Dil ka aalam hai tere baad khayalo jaisa,
Kaash koi mere Ehsaas ko wapis kar de
Khamoshi ka wohi Andaaz, Sadaoun jaisa...

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

15 May 2008

Hindi Shayari

Zakhm Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Zakhm Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Dard Bhool Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Shabnami Sitaroon Per Phool Khilne Lagte Hen
Chand Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Umar Kat Di Lakin Bachpana Nai Jata
Hum Diye Jalate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Teri Yaad Aaye To Neend Jati Rahti Hai
Hum Khushi Manate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Ab Bhi Teri Aahat Per Chand Muskurata Hai
Khwab Gungunate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Tere Hijr Me Hum Per Ik Aazab Taari hai
Chonk Chonk Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Ab Bhi Teri Aahat Per Aass Lout Aati Hai
Ashq Hum Bahate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per.


Syed Bilal

Labels: , , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

07 May 2008

Hindi Shayari : Teri Aahat Per...

Teri Aahat Per...
Zakhm Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Dard Bhool Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Shabnami Sitaroon Per Phool Khilne Lagte Hen
Chand Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Umar Kat Di Lakin Bachpana Nai Jata
Hum Diye Jalate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Teri Yaad Aaye To Neend Jati Rahti Hai
Hum Khushi Manate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Ab Bhi Teri Aahat Per Chand Muskurata Hai
Khwab Gungunate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Tere Hijr Me Hum Per Ik Aazab Taari hai
Chonk Chonk Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Ab Bhi Teri Aahat Per Aass Lout Aati Hai
Ashq Hum Bahate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per.

Labels: , , , , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

30 April 2008

Shayari SMS - Koi Kehta Hai...

Koi Kehta Hai...
Koi Kehta Hey Piyar Zindagi Ban Jata Hey
Koi Kehta Hey Piyar Saza Ban Jata Hey
Par Piyar Karo Agar Sachey Dil Sey Tu
Piyar Jeenay Ki Wajah Ban Jata Hey !

Labels: , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

26 April 2008

Hindi Shayari - Mera Khud Se Rabta Bhi Nahi

Mera Khud Se Rabta Bhi Nahi
Samny koi rasta bhi nahi
mera khud se rabta bhi nahi

yaad rakhna bhi ik azab hua
bhol jany ka hosla bhi nahi

ik din wo mujhe bulaye ga
kia yaqeen hai jo toot_ta bhi nahi

waswasey dil ko kion sataty hain
wo abhi to wo bewafa bhi nahi

lamha lamha tumhare naam kia
aur kuch mere paas tha bhi nahi

Labels: , , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

16 April 2008

Kesy Meta Don Tujhe # Shayari

Kesy Meta Don Tujhe Zindgi Ke Kitab Se
Tu Intisab Hey Harf Harf Izhar HeY Mera

Tu Kehta Hey Na Sochon Tujh Ko
Tumhein Maloom Nahin Tu Lamha Lamha Sans Hey Mera

Kesy Khon Don Tera Chehra Tere Ankhein
Tu Manzar Manzar Nishan Hey Mera

Labels: , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

11 April 2008

Romantic Shayari

Dil Ki Baat
kya hassen kwaab tha, mai tha
woh thi, aur gardihs me chand tha
hathon me hath the, aur waqt ka saath tha
hotho pe hoth the, umango ka saagar tha
kaha khogaya woh mera haseen khwaab?
hoga uske aankhon me, jo rahthi hai mere dil ke saath.

Labels: , , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Mohhabat Mita Do!

ab tere bin is jawani ka kya haal hoga
haatho me jaam hoto pe tera naam hoga
ya khuda agar pyaar ka ye haal hoga
to teri is duniya ka kya hoga?
jalado ye duniya jalado ummedey
jalado ye logo ke dilo me mohabbat
na rahe deewana na rahe deewani
na ho ab kisi ke dilo ki neelami
aao us duniya me chale hum
na rahe jaha dil, na ho dil ka tutna aur gham.

Labels: , , , , , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Zindagi Ka Safar

woh la khada kardi mujhe zindagi ke us mod par
lautna jaha se to sirf khak bankar
mujhpe na rona O mere ghar walo
mere hal na dekh sakoge mujhe zinda pakar
woh kyon aayi meri duniya me mohabbat bankar
iske pehle mai khush tha zindagi ke safar par
hojaye kuch aisa khuda meherbaan hokar
aur leyaon use ghar mai dulhan banakar.

Labels: , , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

02 April 2008

Hindi SMS

yahi dunyai ulfat meinhua karta haihone dotumhe hasna mubarak hokoi rota hai use rone do
.............
kasam le lo jo shikwa ho tumhari bewafai kakiye ko apne rota hun mujhe zee bhar k rone do....
bahla k sawera karte hain ish dil ko unki baton meindil jalta hai apna, jinki tarahbarsat ki bheegi raton mein
...........
meri nazar nein uthke kaha kuch unki nazar nei jhukkar kaha jhagda jo na barso mein chukta tay ho gaya baton baton mein....
yea sanataa to na tha jab aash lagaye sunte the mana ki tha dhokha hi dhoka un mithi mithi baton mein...

Labels: ,

Subscribe to Hindi Shayari

27 March 2008

Shayari # Yeh Dil Ho Gaya Tumhara

Yeh Dil Ho Gaya Tumhara

Yeh Dil Ho Gaya Tumhara,
Har Yaad Mein Ho Tum,
Pukarta Hai Tumhe,
Kyun Nahi Laut Aate Ho Tum.
Saansein Hain Chalti,
Har Saans Mein Ho Tum,
Tanha Ki Tanhaai Hai Roti,
Phir Bhi Khaamosh Ho Tum...

Labels: , , , , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Shayari # Ud gaya rang

Ud gaya rang

Ud gaya rang, khusboo hawa ho gayi,
Dekhiye zindagi kya se kya ho gayi,
Dil se rukhsat hui jab khushi yu laga,
Baap ke ghar se beti vida ho gayi,
Uski ankhon ne chalkaye ansoo mere,
Uski surat mera aaina ho gayi..

Labels: , , , , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

16 March 2008

Hindi SMS Shayari Of The Week!

ek dil ka kaha mano ek kaam kardo,
ek benaam si mohabbt mery naam kardo,
meri zaat pey faqat itna ihsan kardo,
ek subah ko melo our shaam kardo


Shama-e-tamanna jawaan aaj bhi hai
Har hasrat lekin bezuban aaj bhi hai
Manzilon ko nahi naseeb mere kaafile to kya
Rahon pe mere kadmon ke nishaan aaj bhi hain


zindagi guzar jayegi ahista ahista
phir yeh waqt dagmagaayega ahista ahista
tum mujhe yaad rakhoge kuch der
phir yeh yaad bhi mit jayegi ahista ahista

Labels: ,

Subscribe to Hindi Shayari

14 March 2008

Meri Mohabbat : SMS Shayari

Meri mohabbat ko chahedhoka de,
Mai tujse koi shikawa na karunga.
Rahti hai dil me tasavie teri,
Sari umar usiki hifajat karunga.

Labels: , , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

12 March 2008

Dosti Shayari

Jab se aapko jana hai,
Jab se aap sa dost paya hai,
Har dua me aap ka naam aaya hai,
Dil karata hai punchu us rab se k,
Kya itna pyara dost sirf mere liye bana hai.

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

04 March 2008

Aansoo : Dard-e-dil Shayari

Mere pehloon mein jo Beh nikly Tumhare Aansoo
Ban gaaye Shaam-e-Muhabat ke Sitare Aansoo

Dekh Sakhta hai Bhala Koun ye piyare Aansoo
Meri Aankhon mein na aa jaay tumhare Aansoo

Apna Moo mere grebaan mein chupati Q ho?
Dil ki Dharkan kahein sun lay na tumhary Aansoo

Shamma ka Aks jhalakta hai jo har Aansoo mein
Ban gaay bheegi howi Raat ke Taare Aansoo

Saaf Iqraar Muhabat ho Zubaan se Q,,Kar
Aankh mein aa gay youn Sharam ke Maary Aansoo

Hijr abhi door hai mein paas hoon'Ae Jan-e-Wafa
Q,howy jaaty hai Be-chain Tumhary Aansoon

Subbah Dam dekh na le koi ye Bheega Aanchal
Meri Chughli kahein khaa de na Tumhary Aansoo



U ME OUR HUM
u_me_hum84@ yahoo.com
u_me_hum84@ hotmail.com
SMS & CALL
00923213204868
00923003459026

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Shayaris

1) Koi achhi si saza do mujhko,chalo aisa karo bhula do mujhko,tumse bichdu to maut aa jaye,dil ki gehraiyon se aisi dua do mujh ko.......

2) Gunah karke saza se darte hain, zahar pee ke dawa se darte hain, dushmano ke sitam ka khauff nahi, hum toh doston ki wafa se darte hain..

3) Dil ki aag ko ashko se bujha lenge,ayegi jo yaad tumari jaam utha lenge,hamse behtar koi mile to btana,tumari rahon se khud ko hata lenge.

Labels: ,

Subscribe to Hindi Shayari

22 February 2008

SMS Shayari

Yaadoon se jud ke yaad aate ho aap,
yaad aa kar yaadoon ke yaadgaar ban jate ho aap,
yaadoon hi yaadoon mein gir jate hai hum,
kyonki yaad ko bhi yaad bana jate ho aap..


anjali..

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

20 February 2008

Yaad Karogi? >> SMS Shayari

karoge yaad to har baat aayegi
suhane waqt ki har mauj tahar jayegi
talash karoge hamse behatar dost koi
nazar door tak jayegi aur laut aayegi

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

13 February 2008

Musafir : Hindi Shayari

Musaffir K Rasstey Badltey Rahey
Muqader Main Chalna Tha Chaltey Rahey

Koi Phool Sa Haath Kandhey Pay Tha
Meray Paaon Sholon Pay Chaltey Rahey

Main Rasttey Main Uljha Raha
Diyey Uski Rahoon Main Jaltey Rahey

Woh Kiya Tha Jissey Hum Ney Thukra Diya
Mager Umer Bher Haath Maltey Rahey

Mohabbat,Adavar, Wafa,Bayrukhi
Kiraye K Gher Thay Badltey Rahey

Suna Hai Unhin Bhi Hawa Lug Gai Hai
Hawaon K Jo Rukh Badlatey Rahey

Lipat K Chiraghoon Sey Hum So Gaey "R!zwan"
Hum To Pholon Main Carvan Badltey Rahey



Teri judai bhi hamein pyar karti hai, teri yaad bahot
bekrar karti hai, vo din jo tere sath guzare the,
talash unko nazar bar bar karti hai.


Raj.

Da way i am.

Labels: , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

12 February 2008

Aey Khuda Rait Ke Sehra Ko Samandar Ker Dey : Hindi Shayari

Aey Khuda Rait Ke Sehra Ko Samandar Ker Dey
Ye Chalakti Aankhon Ko Bhi Pathar Ker Dey

Tujh Ko Daikha Nahin Mehsoos Kiya Hai Mainey
Aa Kisi Din Mairey Ehsaas Ko Paiker Ker Dey

Aur Kuch Bhi Mujhey Darkaar Nahin Hai Lekin
Mairi Chaadar Mairey Pairon Ke Baraabar Ker Dey…


Syed Bilal

Labels: , , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

07 February 2008

Mujhay Yaad Mat Kiya Karo - Shayari

Mujhay Yaad Mat Kiya Karo
Mujhay Dil k Aangan Mein Kahin Dafn Kar Do
Uss Pe Chirag-e-Tamanna Bhuja Dalo
Ser-e-Shab Tairgii Mein Guzrey Din
Yun Talash Mat Kiya Karo
Mujhay Yaad Mat Kiya Karo
Chandni Se Na Kuch Kaho
Na Hanso Na Baatein Kiya Karo
Sar-e-Raah Apna Bharam Yun
Tabah Mat Kiya Karo
Mujhay Yaad Mat Kiya Karo
Gulistan Mein Koi Gul Khilay
Aur Koi Rahroo Usay Torr Ley
To Hasrat Se Na Taka Karo
Sar-e-Sham Shafaq Ko Dekh Kar
Na Nazron Mein Yun Bhara Karo
Mujhay Yaad Mat Kiya Karo
Samander k Pass Jao Kabhi
To Lehron Mein Paon Dalay Hue
Aati Jati Moujon Se Yun
Kalam Mat Kiya Karo
Mujhay Yaad Mat Kiya Karo
Kabhi Kholo Purani Diary
To Tamam Safhey Parha Karo
Mera Naam Dekh Kar Samney
Safha Palat Mat Diya Karo
Mujhay Yaad Mat Kiya Karo
Barastii Barish Mein Tehla Karo
Khoob Hanso Baatein Kiya Karo
Yun Qatra Qatra Thaam Kar
Mera Naam Mat Liya Karo
Mujhay Yaad Mat Kiya Karo
Shab Ko Yun Guzaroo k
Tanhaii Na Tumharey Pass Aye
Na Dareechon Se Jhank Jhank Kar
Tumhein Chaandni Sataye
Aur Tum Dair Talak Yun Chand Se
Baatein Mat Kiya Karo
Mujhay Yaad Mat Kiya Karo
Suno...
Yeh Jo Chand Hay Mujhay Dekh Kar
Monh Pher Leta Hay Ab
Kabhi Baag Jaon To Phool b Shikwa Kunaa
Mujh Se Baat Nahi Kartey Hain Ab
Samander Ki Taraf Niklon Kabhi
To Lehrein Chor Deti Hain Paon Mery
Barish k Tamam Qatrey Daman Bachatey Hain
Mujh Par Barastey Hi Nahi
Shafaq b Mujhay Dekh Kar
Chupa Leta Hay Khud Ko Badal Mein
To Dekho!
Yun Mujhay Na Door Karo Tamam Aalam Se
Meri Zeest Ko Aey Nishat-e-Mann
Yun Azab Mat Kiya Karo
Mujhay Yaad Mat Kiya Karo
Mujhay Yaad Mat Kiya Karo..!!!



Teri judai bhi hamein pyar karti hai, teri yaad bahot
bekrar karti hai, vo din jo tere sath guzare the,
talash unko nazar bar bar karti hai.


Raj.

Da way i am.

Labels: , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Shayari

Hum zamaaney kay sataaye hain bohut,
Apnay seenay say lagaa lou hum ko,

Sub-haa hoti hai chhupaa lou hum ko,
Raat bhar chaahney vaalo hum ko,
Hum haqeeqat hain nazar aatey hain,
Daastaano mein chhupa lou hum ko,
Dil naa paa jaaye kahin shabb kaa raaz,
Sub-haa say pehlay uthaa lou hum ko,
Hum zamaaney kay sataaye hain bohut,
Apnay seenay say lagaa lou hum ko,
Waqt kay honth hamein chuu leingay,
Unkahey bol hain gaa lou hum ko,
Kall khareedaaron kay pehrey hongay,
Aaj kee raat churaa lou hum ko,

shabb.........night

mail compiled by,
jass_cancerian

Labels: , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

28 January 2008

Galey Say Shab Ko Lagaaya Sahar Ke Dhokey Mein

Galey Say Shab Ko Lagaaya Sahar Ke Dhokey Mein
Hum Aa Gaye Hain Khud Apni Nazar Ke Dhokey Mein

Idher Hai Aag Ka Darya, Udhar Lahoo Ki Nadi
Kahan Pohanch Gaye Hum Rehbar Ke Dhokey Mein

Kabhi Chaley Thay Jahan Say, Ussi Maqam Par Hain
Thay Daairon Mein Rawaan, Hum Safar Ke Dhokey Mein

Faraib-e-Husn-e-Nazar Hai Ke Saadgi Dil Ki
Hameisha Sang Chuney Hain, Guhaar Ke Dhokey Mein

Abhi To Zulmat-e-Shab Ka Talism Baaqi Hai
Abhi Na Shama Bujhaao, Sahar Ke Dhokey Mein

Fizayein Ajnabi, Be-gaana Soortein 'Bilal'
Kahan Ye Aa Gaye Hum Apne Ghar Ke Dhokey Mein !

Syed Bilal

Labels: , , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

WOH YAAD AAYE BHULTE BHULATE

WOH YAAD AAYE BHULTE BHULATE,
DIL KE ZAKHAM UBHAR AAYE CHHUPATE CHHUPATE,
SIKHAYA THA JISNE HASNA,
USINE RULAYA HASATE HASATE,



Teri judai bhi hamein pyar karti hai, teri yaad bahot
bekrar karti hai, vo din jo tere sath guzare the,
talash unko nazar bar bar karti hai.

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Hindi Poetry SMS

youn toh guzar raha hai har aik pal khushi k saath
phir bhi koi kami si hai kiun zindagi k saath

rishtey,wafaein dosti sab kuch toh pass hai
kiya baat hai pata nahi dil kiun udaas hai
har lamha hai haseen naye dilkashi k saath
phir bhi koi kami si hai kiun zindagi k saath

chahat bhi hai sakoon bhi hai dilbari bhi hai
aankhon mai khuwab bhi hai labon pai hasi bhi hai
dil ko nahi hai koi shikayet kisi k saath
phir bhi koi kami si hai kiun zindagi k saath

socha tha jaisa waisa hi jevan toh hai magar
ab aur kis talash mai bey chein hai nazar
qudrat ki toh meharbani hai darya-dili k saath
phir bhi koi kami si hai kiun zindagi k saath!!

Labels: , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

21 January 2008

Meri Yaad

Meri Yaad tujj ko Sitati ho gi
Teray Dil may Toofan utathi ho gi
Mera naam likh likh kar dewaar-o-par
Tu Gairoo kay Darr say Mitathi ho gii
Zubaan pay mera zikar anay say pehlay
Zara Soch kar Muskurati ho gii
Tu phir Soozay may meri Daastan ko
Kabhi Zer-e-lab gungunhati ho gii…
Meray Saath ju tu nay Lamhay guzaray
Wu her ek sukhi ko batati ho gii…
Tassawar may a kar meray bazaoo may
Buhat piyar say lamhati ho gi…
Teray Chat`kiya eiskh layta ho ga
Juwani tujhey gud`gudati ho gi..
Kaddam dag`magatay tu hoon gaye amooman
Yakeenan Zabaan larkarati ho gi..
Kabhi teray armaan jachtay hoon gaye
Teri Zaat mujko bulathi tu ho gii..
Ju ki tu nay meri Wafa kay badlay
Wu mehrak jaffa yaad aathi tu ho gi…
Bigarthi tu ho gi lim-e-jooliyo say
Kiyaloo may mujh ko manathi tu ho gi..
Tu karab musalsal ki haalat may apnay
Aisay labho ko chubati tu hoo ghii…
Meray dard-o-farqat may betaab sood
Tu ashkoo kay mooti lutathi tu ho ghi…
Mulaqat ki rah masroor paa kar
Yunhi din raat sat`patathi ho ghii..
Ay taaj Dil yaad may Shama ulfat
Ju jalthi may tamtathi ho ghiii…
Chaman kay rang-o-yu nay iss qadar dokay diye mujhko
Kay hain zook gull tu sahi may kaanto pay zuban rakh dhi to ho gi

From :۞ShahiD۞

Labels: , , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Jis kisi ko bhi chaho woh bewafa ho jaata hai

Jis kisi ko bhi chaho woh bewafa ho jaata hai
Sar agar jhukao to sanam khuda ho jaata hai

Jab talak kaam aate raho, humsafar kehlaate raho
Kaam nikal jaane par humsafar, koi doosra ho jaata hai

Ghum nahi tha humko kabhi zamaane ki ruswaaion ka
Takleef hoti hai jab koi apna khafa ho jaata hai

Dil ki khalish aksar jaan leva ho jati hai lekin
Dar-e-dil ek had ke baad dard-e-dawa ho jaata hai

Hara-bhara hai gulshan-e-yaar, yeh bahar ke din hai
Khizan aane par dekho ek ek patta, kaise juda ho jaata hai

Yahi sachchai hai, haqeeqat hai, yahi dastoor-e-zindagi hai
Kuch der milte hain humraahi,phir har koi tanha ho jaata hai...!!!

Syed Bilal
mailto: bilal_honest007@yahoo.com

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Mujhe Khonay Se Darti Thi

Mujhe Khonay Se Darti Thi

Meri Aankhon Pe Marti Thi
Meri Baton Pe Hansti Thi
Na Janay Woh kaisi lerki Thi
Mujhe Khonay Se Darti Thi

Mujhay Jab Bhi Woh Milti Thi
Yahi Har Baar Kehti Thi
Suno!!
Agar Main Bhool Jaoon To
Agar Main Rooth Jaoon To

Kabhi Wapis Na Aoon To
Bhula Pao Gay Yeh Sab Kuch?
Younhi Hanstay Raho Gay Kya?
Younhi Sajtay Raho Gay Kya?

Yahi Batain Hain Bas Uski
Yahi Yaadain Hain Bas Uski
Yahi Chahat Hai Bas Uski
Mujhy Bas Yaad Hai Itna!!!

Mujhay Woh Pyar Karti Thi
Mujhay Khonay Se Darti Thi...!!!

Labels: , , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Tumhe dekha tou jaana,jalwa kya hai aur khuda kya hai

Tumhe dekha tou jaana,jalwa kya hai aur khuda kya hai,

Tumhaari ankhon mein dekh kar jaana hya kya hai,
Huee jab dosti tum say tou hum samjhey waffa kya hai,
Zamaney bhar say sunder ho zamaney bhar say achhi ho,
Tumhe achha kahoon jo main, bhala iss mein bura kya hai,
Sunaa thaa ikk khuda hai per na aaya voh nazar ham ko,
Tumhe dekha tou jaana,jalwa kya hai aur khuda kya hai,
Jo roothey tum tou hum samjhey kay hum say zindagi roothi,
Manaya tum ko tou jaana hum ney ,mananey mein maza kya hai,

mail compiled by,
jass_cancerian

Labels: , , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Wiraaniyan Muqadar Bani Ekk Terey Jaaney Ke Baad

Wiraaniyan Muqadar Bani Ekk Terey Jaaney Ke Baad
Mehroomiyan Muqadar Bani Ekk Terey Jaaney Ke Baad

Phaila Huwa Abb To Chaar Soo Andhaira Hai
Tareekiyan Muqadar Bani Ekk Terey Jaaney Ke Baad

Be-ronaq Mairi Tarah Ghar Ke Dar-o-Deewaar Bhi Hain
Udaasiyan Muqadar Bani Ekk Terey Jaaney Ke Baad

Dhaltey Sooraj, Taptey Sehra Aur Khizaan Raseeda Paton Say
Shanasaaiyam Muqadar Bani Ekk Terey Jaaney Ke Baad

Hotey Hain Har Taraf Say Abb Ishaarey Mairi Jaanib
Ruswaaiyan Muqadar Bani Ekk Terey Jaaney Ke Baad

Dar Khula Rakhtey Hain Ke Shayad Tu Aaye Kabhi
Khush Fehmiyan Muqadar Bani Ekk Terey Jaaney Ke Baad …


Syed Bilal

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

17 January 2008

COLLECTION OF MY HINDI SHAYRI SMS

1) Kitnon ki takdeer badlni hai tumhe,
kitno ko rasto pe lana hai tumhe,
aapni hat ki lakiro ko mat dekho,
in lakiro se aage jana hai tumhe....

2) Hame pataa hai Aap bahut Bizzy hain, Zyaada nahi par thode se
crazzy hain. Maana ke milna bahut mushkil hai, Per mobile pe sms karna
to bahut Eazzy hai!

3) DiL k jhakhmo Ko unse chupana pada,palke bhigi thi par muskrana
PADA,kaise ulte hai mohabbat k ye riwaz? Ruthna chahte the hum par
unko manana pada...

4) Yadain woh nahi jo tanhai me ati hai... Yadain woh nahi jo tanhai
me aati hai....Yadain woh hai jo BHID me TANHA kar jati hai.

5) Wo chand jaise aasman me chamakte rahe. Hum raat bhar unki chamak
me khoye rahe.
Jaante hai kabhi na paa sakenge unhe. Phir bhi har dua me unhi ko
mangte rahe..

6) Jane kis baat ki mujhko saja deta hai,meri hasti hui ankhon ko rula
deta hai.Ek muddat se khabar bhi nahi teri,koi is tarah bhi kya apne
dost ko bhula deta
hai.

7) Har rishta mila virasat mein, phir dosti alag se kyon banai hai,
kyunki baki rishte banaye the khuda ne,aur dosti khud khuda ki perchai
hai..

8) Duniya me rehke sapno me kho jao,
kisi ko apna bana lo ya kisi k ho jao,
Agar kuchh bhi nahi ho,
to phir se takiya lo aur so jao!

9) Hamne jo bnaye rishte kaise kaise ho gaye,kabhi apke dost the,ab
aise vaise ho gaye,agar abhi aapne sms na bheje,to hum Samjhenge dost
se pyare paise ho
gaye.

10) Dosti shayad zindgi hoti he, Jo har dilme basi hoti he,Waise to ji
lete he sabi akele magar,Phir b zarurat inki har kisiko hoti he...

fROM:goku9811

Labels: ,

Subscribe to Hindi Shayari

14 January 2008

Na Karo...

Door nigahon se baar-baar jaaya na karo,
Dil ko is kadar tadpaya na karo,
Tum bin ek pal bhi jee na sakenge hum,
Yeh ehsaas baar baar dilaya na karo...

Labels: ,

Subscribe to Hindi Shayari

SMS Shayari

youn loat aao keh ek baar phir say mera wajood,
tumharay sath kay rangon mein kuch is trah rangay,
keh jaisay raat mein phailay sagar ki koi tarpti lehar,
haseen chand ki narm roshni mein behakay.


youn loat aao keh ek baar phir say mera ehsas,
tumharay sath kay naghmon kay sahar mein doobay
keh jaisay madhur sargoshi ka koi khoya howa saaz
apnay suroon kay jaltarang say khud hi lehkay.


youn loat aao keh ek baar phir say mera jeevan
tumahary sath ki narm loa say yun chamakay
keh jaisay khoi hoi titli kay udass jeevan mein
kahin say aas ka ek jugno sitara sa chamkay.


yuon loat aao keh ek baar phir huma kay rang
tumharay sath kay haseen paloon say yun munawar hoon,
keh jaisay sham kay aasman pay phaili hoi shafaq
zameen O aftab kay milan say sharma kar damkay.

Labels:

Subscribe to Hindi Shayari

11 January 2008

Hai Chupi koi Daastan

Hai Chupi koi Daastan Iss Dil Main Ab Tak
Rakhi hai sanbhal Kar per na janay kab Tak
Tarrapta rahoon ga uss say na milon jab Tak
Koi tu sada day meri aahat jab puhnche Rab Tak
Woh tu nazar andaaz karti hai per na janay kab Tak
Hoon zinda shayad Jab Maroonga Tab Tak.

Poetry By: Qazi Bilawal Ali

Labels: ,

Subscribe to Hindi Shayari

10 January 2008

Mera Kuch Saaman

Mera kuch saaman tumhre paas para hai
Sawan ke kuch bheege bheege din rakhe hain
Aur mere ik khat mei lipti raat pari hai
Wo raat bujha do
Mera wo saaman lota do

Pat jhur hai kuch hai naa?
Pat jhur mein kuch patton ke girne ki aahat
Kaano mein ik baar pehan ke lotai thi
Pat jhur ki wo shaakh abhi tak kaanp rahi hai
Wo shaakh gira do
Mera wo saaman lota do

Aik akeli chatri mein jub aadhe aadhe bheeg rahe the
Aadhe sookhe aadhe geele
Sookha tu main le aai thi
Geela mann shayad bistar ke paas para ho
Wo bhijwa do
Mera wo saaman lota do

Aik so sola (116) chand ki raatein aik tumhare kaandhe kateen
Geeli mehndi ki khushboo jhoot moot ke shikwe kuch
Jhoot moot ke waade bhi sab yaad karwa do
Sub bhijwa do
Mera wo saaman lota do

Aik ijazzat de do bus jub isko dafnaoon gi
Main bhi waheen so jaoon gi.


(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ ------Usman Khalid

Labels: , , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Rishte

Haath choote bhi tu rishte nahi chora kerte
Waqt ki shaakh se lamhe nahi tora kerta

Jis ki awaz mein silwat ho, Nigahon mein shikan
Aisi tasweer ke tukre nahi jora kerte

Lag ke saahil se jo behta hai ise behne do
Aise darya ka kabhi rukh nahi mora kerte

Jagne per bhi nahi aankh se girti kirchein
Is tarah khwabon se aankhein nahi phora kerte

Shehad jeene ka mila kerta hai thora thora
Jane walon keliye dil nahi thora kerte

Jamma hum hote hain, Taqseem bhi ho jate hain
Hum tu tafreeq ke hindse nahi jora kerte

Ja ke kuhsaar se sir maro ke awaz tu ho
Khasta deewaron se maatha nahi phora kerte

(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ ------Usman Khalid

Labels: , , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Aadat

Saans lena bhi kaisi aadat hai
Jiye jana bhi kya rawayat hai
Koi aahat nahi badan mein kahin
Koi saya nahi hai aankhon mein
Paaon be his hain chalte jaate hain
Ik safar hai jo behta rehta hai
Kitne barson se kitni sadiyon se
Saans lete hain jeete rehte hain


AADATEIN BHI AJEEB HOTI HAIN!

(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep Loving &
(¨`·.·´¨)¸.·´ Keep Smiling !
`·.¸.·´ ------Usman Khalid

Labels: , , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Bass aik shakhs ko maangaa mujhay vohi na milaa...

Bass aik shakhs ko maangaa mujhay vohi na milaa,

Mohabbaton mein dikhaave kee dosti na milaa,
Agar galey nhi milta tou haath bhi na milaa,
Gharon pay naam thay,namo kay saath ohday thay,
Bohut talaash kiya koi aadmi na milaa,
Tamaam rishton ko main ghar pay chhod aayaa thaa,
Phir uss kay baad mujhay koi ajnabi na milaa,
Khuda kee itni badi kaayenaat mein mainay,
Bass aik shakhs ko maangaa mujhay vohi na milaa,
Bohut ajeeb hai yeh qurbaton kee duuri bhi,
Voh merey saath raha aur mujhay kabhi na milaa,


mail compiled by
jass_cancerian

Labels: , , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Ek vichaar!

sochti huin raat din yeh
likhduin kyon na kagaj pey
agar kal ka bhee aaj ho jaaye
agar suraj nikle aur na chuup paaye
agar aandhi kabhi na ruk paaye
toh yeh zindagi shayad zindagi
na reh jaaye


es niyati kei hum deewane hain
yuinhi chupchaap jale jaate hain
kayamat hogi agar jab bhee
shayad tamasha hum bhee dekh paaye
kaun milta hai kise, kaun kiska hai
bekaar kei aihsaas sei vishwas uth jaaye


ruhi

Labels: , , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

08 January 2008

Mujhe achcha laga...

durr reh kar bhi tujh se mohabbat karna mujhe achcha laga
tu bata aakhir tujhe yeh waqiya kaisa laga
itne fasley mein bhi hai teri qurbat ke maze
ujhe se milna tujh ko chahna mujhe achcha laga
raakh uddne lagi hai mann mein jalti bujhti yaadon ki
shaam dhale teri yaad ke deep jalana mujhe achcha laga
kaise kahun tere bin ddasti hai mujhko tanhai
teri ulfat teri furqat mein rat-jaga mujhe laga laga
woh aanchh thi hawa mein ke kali tak sulag gayi
aise mein tera ghata ban ke barsna mujhe achcha laga
faasle miitt na paayeinde in durriyon ke kabhi
tasweer mein tera aa ke dil ko behlana mujhe achcha laga
chheen li neend jab aa ke tare khayalon ne
teri tasweer pe chhupke se hotho ko rakhna mujhe achcha laga.

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Bahut udaas hoon main

mere kareeb aao bahut udaas hoon main
bus aaj toot ke chhao bahut udaas hoon main
kisi bhi jhoote dilasey se dil ko behlaao
koi kahani nayi sunaao bahut udaas hoon main
andheri raat hai kuchh nazar nahi aa raha
sitare todd kar laao bahut udaas hoon main
suna hai prem nagar mein khushi bhi milti hai
mujhe yaqeen dilaao bahut udaas hoon main
yeh shaam yoonhi guzar jaayegi dabe paaon
wafa ke geet gaao bahut udaas hoon main

Labels: , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Kheriyat apni kis taran leitay,Raat-din tum hamaray dhyaan mein thay...

Kheriyat apni kis taran leitay,
Raat-din tum hamaray dhyaan mein thay,

Ham zameen par na aasmaan mein thay,
Ham tou bas aapki aaman mein thay,
Kheriyat apni kis taran leitay,
Raat-din tum hamaray dhyaan mein thay,
Kaisay maanein kay tum nay dastak dee,
Subah say ham issi makaan mein thay,
Itnay tamgay kisi kay paas nahin,
Jitney chhaley meri zubaan mein thay,
Ghonslay dil kay reh gaye khaali,
Jitney panchhi thay sab udaan mein thay,
Kuchh kami teri munsafi kee rahi,
Jhol merey bhi kuchh byaan mein thay,
Aik din jeet leingay dil tera,
Aaj takk ham issi gumaan mein thay,


Aaman ---- shelter
Tamgay -----medals
Munsafi ------ justice
Gumaan ----- over confidence

mail compiled by,
jass_cancerian

Labels: , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Dastak pay mere haath kii khul jaao kisii din...

Dastak pay mere haath kii khul jaao kisii din,
Chehre pay mere zulf ko phailaao kisii din,
Kyaa roz garajte ho baras jaao kisii din,
Raazon kii tarah utro mere dil mein kisii shab,
Dastak pay mere haath kii khull jaao kisii din,
Pedon kii tarah husn kii baarish mein nahaa loon,
Baadal kii tarah jhoom kay ghar aao kisii din,
Khushbuu kii tarah guzro mere dil kii galii say,
Phuulon kii tarah mujh pay bikhar jaao kisii din,
Phir haath ko Khairaat mile band-e-qabaa kii,
Phir lutf-e-shab-e-vasl ko dohraao kisii din,
Guzrein jo mere ghar say tou ruk jaayein sitaare,
Iss tarah merii raat ko chamkaao kisii din,
Main apnii har ikk saans usii raat ko dey doon,
Sarr rakh kay mere siine pay so jaao kisii din,


mail compiled by,

jass_cancerian

Labels: , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

Ye kya chund hee qadmon par thak kay baith gaye,

Yeh kya chund hee qadmon par thak kay baith gaye,

khuli jo ankh tou woh thaa na woh zamana thaa,
Dehkti aag thee tanhaayi thee fasana thaa,
Gamon ney baant liya mujhe yuun aapas mein,
Kay jaisay main koi loota hua khazana thaa,
Yeh kya chund hee qadmon par thak kay baith gaye,
Tumhein tou saath mera duur tak nibhana thaa,
Mujhe jo merey lahoo mein dubo kay guzra hai,
Woh koi gair nhin yaar ek poorana thaa,
Khud apney hee haath say uss ko kaat diya,
Kay jiss darakht kee tehni pay ashiyaana thaa,


mail compiled by,
jass_cancerian

Labels: , , ,

Subscribe to Hindi Shayari

 
Google